Aurato Ke Liye Itikaf (Eitikaf) Ke Masle
7:40 PM
Hadees:
Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain,
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye,
Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.
Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi,
Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare
المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.
Niyat:
"Nawaytu Sunnatul Aitekaf"
Mas'ala:
Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh
Hai.
Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo
Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho.
Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki
Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah
Muqarrar Kare..
Wo Jagah Chabutra Jaisi Unchi Ho.
Aur Use
Pak O Saf Rakhe.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}
Mas'ala:
Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz ke Liye Koi
Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf
Nahi Kar Sakti..
Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka iradah Kiya Kisi
Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To Us
Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}
Mard Ko Etikaf Ke Liye Masjid Jaruri Hai Aur Aurat Apne Ghar Ki Us Jagah Me Etikaf Kare Jo Jagah Usne Namaz Ke Liye Mukarrar Ki Ho.
{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 190}
Mas'ala:
Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar
Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai.
Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya uske Marne Ke Bad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
Mas'ala:
Aurat Ne Masjide Bait (Ghar Me Eo Hissa Jo
Aurat Ne Apne Namaz Padhne Ke Liye Banaya Ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf kiya Aur
Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya
{Alamgeeri, Volume-1, Page-212}
Mas'ala:
1- Hai Tabie Hajat...
Jaise Pakhana Peshab istinja Wazu Aur Gusl.
Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho
To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.
2-Shari Hajat.
masla'lan Eid Ya Juma ke Liye
Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par
Jana.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501}
Shaadi Shuda Islami Beheno Ke Liye Jaruri Hai Ke Etikaf Ke Liye Shohar Se Ijazat Hasil Kare.
Shohar Ki Ijazat Ke Bagair Biwi Ke Liye Etikaf Karna Jaiz Nahi.
(Shaami)
Agar Biwi Ne Shohar Ki Ijazat Se Etikaf Shuru Kar Diya.
Baad Me Shohar Mana Karna Chahta Hai To Ab Mana Nahi Kar Sakta.
Aur Agar Karega To Biwi Ke Jimme Uski Ta'amil Waajib Nahi.
(Aalamgiri)
Jima (Humbistari) Karne Se Etikaf Toot Jata Hai. Kwah Ye Jima Janbuz Kar Kare Ya Bhool Kar.
Din Me Kare Ya Raat Me.
Masjid Me Kare Ya Masjid Se Bahar.
Inzal Ho Ya Na Ho.
In Sari Surato Me Etikaf Toot Jata Hai.
(Hidayah)
Bos-Kinar (Kiss) Etikaf Ke Halat Me Najaiz Hai.
Aur Isse Inzal Ho Jaye (Mani Nikalna) To Etikaf Bhi Toot Jata Hai. Lekin Agar Inzal Na Hua To Najaiz Hone Ke Bawajud Etikaf Nahi Tootta.
(Hidayah)
Etikaf Jis Wajah Se Bhi Toote Chahe Kasdan Ya Bila Kasd Baharhal Kaza Waajib Hai.
{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 191}
Motakif Na Chup Rahe Na Baat Kare Balki Quraan Sharif Ki Tilawat, Hadees Ki Kirat Aur Durood Sharif Ki Kasrat Kare.
Ilme Deen Ka Dars Wa Tadaris Kare Ambiya Wa Auliya Wa Salehin Ke Halaat Padhe Ya Deeni Baate Likhe.
{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 191}
Mas'ala:
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Chahiye Ki
Halate Aitekaf Me Kasrat Se Quran E Majeed
Ki Tilawat Kare, Hadees Sharif Padhe,
Durood Sharif Padhe,
Deen Ka ILM Sikhe Aur Sikhaye,
Huzoor E Pak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ O
Deegar Ambiya Alaihimussalam Ki Sirate
Tayyebah Padhe. Awliya O Saliheen Ki
Hikayaat Padhe
ﺣﺼﮧ5- ،
ﺻﻔﺤﮧ .1027-
Mas'ala:
Motakif Chup Rehne Ko IBADAT Samjhe To Ye Makroohe Tehrimi Hai,
Agar Sawab Samajh Ke Na Ho Aur Aise Hi Chup Raha To Harj Nahi.
Agar Buri Baat Se Chup Raha To Ye Aala Darje
Ki Chiz hai Q Ki Zuban Se Buri Baat Na Nikalna Ye Wajib Hai,
ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ،
ﺟﻠﺪ 3- , ﺻﻔﺤﮧ .507-
Islami Bhaiyo Me Ye Galatfehmi Payi Jati Hai Ki Motakif Ko Bilkul Baatchit Karna Mana Hai. Wo Samajhte Hai Ke Masjid Me Parde Tang Kar Iske Andar Bilkul Chupchap Pade Rehna Chahiye. Halaki Aisa Nahi Hai Parda Jaruratan Tang Sakte Hai Magar Is Tarah Ki Kam Se Kam Jagah Ghere. Motakif Ke Liye Parda Lagana Etikaf Ki Jarurat Mese Nahi Hai. Etikaf Me Khamoshi Ko Ibadat Samajh Kar Apnaye Rakhna Makrooh-E-Tehrimi )Najaiz( Hai Aur Aghar Chup Rehna Sawab Ki Baat Samajh Kar Na Ho To Muzaika Nahi.
Aur Buri Baat Se Bachne Ke Liye Chup Rehna To Aa'la Darje Ki Chiz Hai Kyunki Buri Baat Jaban Se Na Nikalna Waajib Hai Aur Nikalna Gunah Hai.
Jis Bat Me Na Sawab Ho Na Gunah Yani Mubah Baat Bhi Motakif Ko Makrooh Hai. Magar Jarooratan Ijazat Hai Aur Bila Jarurat Masjid Me Mubah Baat Nekiyo Ko Aise Kha Jaari Hai Jaise Aag Lakdi Ko.
)Durre Mukhtar(
0 Comments