Namrood ka Ibrahim a.s ko Aag ma Jalana - Aatishe Namrood
7:24 PM
Lajawaab namrood aur pagal qom nay faisla kia k Iarahim a.s. ko aag mein daal diya jae...aik jaga muntakhib kar k kai roz tak aag dehkai gai, phir aik din Ibrahim a.s. ko uss mein phenk diya gaya.
Allah ka hukam huwa "Ay aag tu Ibrahim k liye salamti aur thandak bun ja")Ambia(
Hazrat Ibrahim a.s. per sirf un ki biwi)Hazrat Hajra a.s.( aur Hazrat Loot a.s.)chacha k betey( aur un ki biwi eemaan lae, jin k saath aap nay apna watan chora aur Falasten mein ja aabaad huway.
Riwayat hay k jub Usman r.a. nay apni biwi Ruqayya r.a. k sath Habsha hijrat ki to Rasool Allah saww nay farmaya "Beshak Loot k baad Usman pehlay muhajir hein, jinhon nay apni biwi samait hijrat ki"..
Falasteen mein ziada arsa qayam nae kiya aur Misar ki taraf safar kiya.
Jub Misar paunchay,to apni biwi say farmaya "yahan ka badshah zalim aur jabir hai. jab kisi haseen aurat ko dekhta hay, to usko zabardasti cheen leta hay,uska sathi mard agar shohar ho to usay qatal kar deta hai, lekin agar koi aur rishta ho to chor deta hay. Deeni tour per tum meri behen ho,is liye usko b tum yahi batana"
Phir aisa hi huwa, raat ko badshah nay jub budniyati say apna haath barhaya to wo shull ho gaya aur wo Sarah a.s.ko hath nae laga saka, us nay Sarah a.s. ko kaha "apney RUB say dua karo k mera hath theek kar day, mein tujhay riha kar doon ga"....dua k baad hath to theek ho gaya magar badsha dobara budniyyat ho gaya phir wohi huwa...jub teesri baar huwa to uss nay kaha "Isko jaldi say lay jao shayad ye jin hay", us k sath hi Hazrat Haajra ko b saath bhej diya..Sarah a.s. apnau saath Haajra ko lay kar Ibrahim a.s. k paas paunchin aur mubarak di Allah nay aik faasiq say nijaat di aur aap k liye aik khadima )Haajra a.s.(b bhej di hay.........
Ye waqiya ahadees mein Hazrat Abu Hurera say riwayat hay, jinhon nay farmaya "Ay sharifun nasab ehlay arab ! Ye hein Haajra a.s, jo tum sub ki maan hein" Riwayaat say sabit hota hay k Haajra a.s. Firaon e misr ki beti thein. ehlay yahood ki mustanad riwayat hay k jub firaon nay Sarah a.s. ki karamaat ko dekha to kaha "meri beti ka iss k ghar londi bun k rehna, doosray ghar mein malka bun kar rehnay say behtar hay"
Hazrat Ibrahim a.s. jab Misr say chalay to Sarah a.s. ki umer 70 saal thi
0 Comments