HAZRAT ISMAIL A.S. KI PEDAISH
7:30 PM
Ibrahim a.s. nay Allah say aulaad ki dua mangi to Hajra a.s. k batan say Ismail a.s.peda huway, uss waqt Ibrahim a.s.ki umer 86 saal thi.
Doosri biwi ka aulaad peda karna, Sara a.s. k liye bohat takleef deh tha,unhon nay Ibrahim a.s. ko kaha k in donon ko kahin aur lay jao. Ibrahim a.s. ko aitaraz huwa to Allah nay aisa hi karnay ka mashwara diya.
Ibrahim a.s. nay biwi aur buchay ko Kabatullah k paas aik mashkeeza pani aur aik thela khajoor k saath chor diya, aur wapsi per Allah say dua ki
"Ay hamaray RUB mein apni aulaad ko aik banjar wadi mein teray izzat walay ghar k paas chor kar ja raha hoon ta k ye namaz qaim karein....tu logon k dil in ki taraf maail kar day aur zameen say in ko rizq day, ta k ye shukar guzaar banein" )Ibrahim(.........
Jab Kaba ki diwaar Ibrahim a.s. k qad say oonchi ho gai, to Ismail a.s. nay patharon ka aik chabootra bana diya, jis per kharay ho kar Ibrahim a.s. nay mazeed tameer mukammal ki, wohi jaga aaj kal "Maqame Ibrahim" kehlata hay.
Jibrail a.s. phir samnay walay pahaar say aik pathar nikal kar laye, jisay jannat say yahan la kar mehfooz kiya gaya tha.Yahi "Hajre Aswad" hay.
Jab "Baitullah" tameer ho gaya to Allah nay us ka jo maqaam tayyun kiya, us ka Quran mein tafseel say zikar hay, farmaan hay:- "Beshak insanon k liye )Allah ki ibadat k liye( jo pehla ghar banaya gaya,wo Macca mein hay, barkat wala hay aur tamaam insanon k liye hidayat hay, iss mein khuli nishanian hein aur Maqam e Ibrahim b, aur jo iss mein daakhil huwa usay amaan mil gaee. Allah ki taraf say logon per ye baat farz ho gai hay k jo hesiyat rakhta ho, wo iss ghar ka Hajj kare, aur jo iss ka inkaar karay,to beshak Allah tamaam dunya say bayniaz hay "(Aale Imran)
0 Comments