Musa k bhai Haroon A.S ki wafat ka zikr

8:40 PM

Allah Ta’ala ne Musa A.S ko wahi farami k Main Haroon A.S ko fla’n fla’n pahar k paas wafat dainay wala houn. Tau Musa O Haroon, dono us pahar k pass tashreef lay gae. Us pahar per aik be-misal darkht tha. Aik ghar bhi tha, aur us me aik charpai per bister bicha hua tha. Aur us se umdah khushbu mehak rahi thi. Jab Haroon ne ye sab daikha tau Musa se arz kia k main chahta houn k is charpai per laitoun… Tau Musa A.S ne farmaya: so jao. Haroon ne kaha k aap bhi mere sath so jaen. Dono so gae. Laiken maut ne sirf Hazrat Haroon A.S ko uchak lia. Musa uthay tau wahan per kuch na tha. Darkht/ tree, charpai samet Haroon. Sab kuch Aasman per phunch gya tha. Phir Musa apni qaum k paas tanha tashreef laye tau logoun ne afwah/rumors phelana start kar dya k Musa ne Haroon ko qatal kar dya. Aur wo Haroon per hasad karty thay k Bani Isra’ael ki Haroon se muhabbat zyada kioun hai? Choonkay, Haroon A.S Musa k muqablay me zyada narm-mizaj thay. Musa A.S kuch sakht mizaj thay. Tau ye baat Musa tak phunchi tau kaha k, kia main khud apnay bhai ko qatal karounga?? Laiken jab log rumors se baaz na aye tau Musa ne dua ki tau Allah Ta’ala ne Haroon A.S ko charpai samet dikhla dya. Logoun ne unko zameen o aasman k darmiyan daikha. Wallah’alam

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *