Taboot-e-Sakinaaur us ki importance

3:30 AM

Bani Isra’ael ka system darham barham aur kharab ho chuka tha. Aur un me hadsaat o jurm bht hogae thay, hatta k wo Anmbiyah/ Prophets of Allah k qatal se bhi peechay na hatay thay. Tau Allah ne un k Prophets k badlay un per zalim o jabir badshah musallat farma dye jo un per zulm o sitam ki inteha karty aur un ko qatal bhi karny se pechay na hat’tay. Aur phir isi per bus nahi kia bulkay Allah ne dushmanoun/ enemies ko bhi in per musallat kar dya. Aur pehlay pehal jab ye ksi dushmann se jung me hotay tau un k sath wo ‘Taboot-e-Misaq’ (Sakina) bhi hota, jis me “Quba-uzzaman” tha. (jis ka detailed zikr guzar chukka hai) Tau Bani Isra’ael us ki barkat se kamyab hotay , because Allah ne Sakinat-o-Barkat aur Aal-e-Musa O Haroon ka baqya matrooka maal rakha tha. Jis ka zikr Quran me aya hai. Phir aik baar ‘Ahl-e-Ghaza’ aur ‘Ahl-e-Saqlaan’se un ki jung chiri tau wo Bani Isra’ael per ghalib agae aur zabardasti unho ne ye Taboot un se cheen lya. Is trah re azeem cheez un k hath se nikal gae. Us waqt k Bani Isra’ael k badhshah ko ye khabar phunchi tau wo maray gham k wafat paa gya. Aur Bani Isra’ael baghair charwahay ki bakrioun ki trah reh gae. Hatta k Allah ki rehmat un per mutawajja hue. Aur un ki surkhuroi k lye Allah ne un me aik prophet ko bheja, jis ko “Shamuel” kaha jata tha. Tau Bani Isra’ael ny Shamuel A.S se request ki k wo un k lye Badshah bhi ho jaen. Ta k wo un k sath mil kar dushman se larr sakain. (agay is ka zikr ayega). Hazrat Yusha Bi Noon A.S (student of Musa) ki wafat k 460 years baad Allah ne Shamuel ko Prophet bana kar bheja.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *