Hazrat Shamuel aur Taloot ka qissah
3:26 AMSamoel ya Shamuel Hazrat Haroon A.s k wursa’a me se hain. Allah Ta’ala ne unko Bani Isra’ael ki traf Prophet bana kar bheja.
Logoun ne un se kaha k hamary lye koi badshah muqarrar karain, jis k sath mil ker hum jihad karain.
Tau Shamuel ne Allah k hukm se Taloot ko un per badshah bana dya. Because Allah ne un ko Wahi farmai thi k fla’n shakhs, jis ki height itni ho, aur jo fla’n makhsoos seeng/ horn ko hasil karny me kamyab hojae, jis me ‘Al-qaddas’ ka tail/ oil hai, tau Bani Isra’ael ka badshah hoga.
Sab logoun ne apni qismat azmai laiken Taloot k siwa koi un shartoun per pura na utra. Lehaza Shamuel ne unko badshah bana dya.
Taloot siqqa thay, means pani pilanay walay. Aur khaloun/ skins ko khushk/dry kar k leather banany ka kaam karty thay. In kamoun ki wajah se Bani Isra’ael un ko badshah qabool nahi karty thay k ye kaam karnay wala hum per badshahi k qabil kaisay ho skta hai?
Khair, baad me Bani Isra’ael k log “Taloot” badshah k sath apnay dushman “Jaloot” aur uski kafir qaum se jung k lye niklay.
Us se pehlay un ko Allah ki traf se aik ‘nehar’/ canal k through aik azmaish se guzarna para. Aur 80,000 me se 4000 log momin ki hesiyat se Taloot k sath niklay.
Hazrat Dawood bhi isi lashkar me sipahi/ soldier thay. Aur farman-e-Ilahi hai
“Aur Dawood ne Jaloot ko qatal kardya aur Allah ne us ko mulk aur hikmat ata’a ki aur jo chaha sikhaya..”
Dawood A.S apnay father ki aulad me sab se chotay thay. Aur ye total 13 bhai thay.
Taloot ne elaan kia tha k jo shakhs Jaloot ko qatal karega, main apni beti ki shadi us k sath kardounga. Aur apni sultanat me usko shareek kar lounga.
0 Comments