Hazrat Musa A.S ki shadi

8:16 PM

Hazrat Shoaib A.S ne apni beti k kehnay per Musa ko farmaya:
“Mera irada hai k main apni in do betioun me se aik k sath apki shadi kardoun (magar) is shart pe k aap 8 years meri ujrat kar daingay. (means bakriyan wagera chara’aingay)
Aur agar aap 10 years puray karain tau ye aap ki traf se ehsaan hoga. Aur main aap per mushaqqat / hardships dalna nahi chahta.
Inshallah aap mujh ko sabir’een (persistent) me se paengay…” (Sura e Qasas 27)
Tau riwayat hai k Hazrat Musa ne 10 years tak ki muddat Hazrat Shoaib A.S ki naukri ki aur un ki choti beti se shadi ki thi.
Hazrat Ibn e Masood R.A farmatay hain, logoun me sab se zyada zahanat walay 3 log guzray hain:
1- Hazrat Yousuf k A’aqa (Master), jab unho ne apni bewi se kaha k in ka rehan sehan acha rakho.
2- Hazrta Shoaib ki beti, jab us ne apnay walid se kaha k Hazrat Musa ko kaam per rakh lijiye.
3- Hazrat Abu Bakr R.A, jab aap ne apnay baad khilafat k lye Hazrat Umar R.A ko muntakhib / choose kia.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *