Egypt se Musa A.S ka nikalna aur Hazrat Shoaib A.S se mulaqat

8:19 PM

Egypt se nikal kar Musa A.s safar karty hue “Madyan” me dakhil hogae.
Jab Madyan k pani k muqam per phunchay (means well pe) tau daikha k log jama hain aur apnay animals ko kounwen/ well se pani pila rahy hain, aur un k aik traf 2 aurtain apni bakriyoun (goats) k sath khari hain (k admi free houn tau unki turn aye).
Hazrat Musa A.S ne un k lye bakriyoun ko pani pilaya.
(kaha jata hai k Madyan k log janwaroun ko pani pila kar kounwen ka moun aik bht heavy pathar rakh k band kar dya krty thay, aur larkian bahar gira hua bacha kucha pani apni bakriyoun ko pilaya krti theen. Wo pathar itna heavy tha k kuch log mil kar move kar skty thay aur pani khenchnay ka ‘dol’ bhi itna heavy tha k kuch log mil kar khenchtay thay. But Musa itnay taqatwar thay k akelay he pathar hataya aur akelay hi dol se pani nikala , … wallah’alam)
Tau khair pani pila kar Musa aik sayadaar “keekar’’ k nechay beth gae aur parwardigar k hazoor iltejah ki :
“Ae Parwardigar main us ka muhtaj houn k Tu mujh per apni naimat bhejay..”
Aap Egypt se Madyan phunchay thay, ab tak apnay darakht k pattoun aur sabzi k siwa kuch na khaya tha aur dushwaar/ difficult rastay ki wajha se aap k jotay bhi kahin girr gae thay.
Musa A.S us waqt Allah ki makhloq me Allah k sab se khalis/Pure aur qareebi dost thay. But apka shakam Mubarak (abdomen) bhook ki wajah se pusht / back se mill gya tha. Aur khajoor k aik tukray tak k aap muhtaaj thay.
Aap ny jo dua ki, wo un dono larkioun ny sunn li thi.
Riwayat hai k wo dono larkia’an Hazrat Shoaib A.S ki betiyan theen aur wo pani pe jo log thay,, wo bhi in hi ki qaum k log thay. (aur ye riwayat sab se authentic hai ).
Larkioun ne apnay Father ko Musa ki halat aur pura qissa sunaya tau unho ne Musa ko bulanay ka kaha. (khud wo bht hi old aur kamzor ho chukay thay)
Jab Musa A.S hazrat Shoaib A.S k pass aye tau unho ne Musa ko tasalli di k aap be-fikr rahain. Aap zalimoun k chungal se nijat paa chukay hain.
Phir Hazrat Shoaib ki aik larki ne apnay walid se request ki k “ Abba jan, aap inko kaam per rakh lijiye. Ta k ye aap ki bakriyan chara’ain..”
Phir larki ne Hazrat Musa ki tareef bhi in alfaz me ki k aap taqatwar/strong aur amanat-daar hain…”

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *