Hazrat Musa ki Madyan se rawangi (for Egypt)
8:13 PMHazrat Musa ko Madyan me 10 years guzaarnay k baad Egypt me apnay ghar walay yaad agae thay, aur aap unki zyarat k mushtaq thay.
Tau isi lye apnay ahl-e-khana means bewi, bakriyan aur un k bachay means aap ki malkiyat me job bhi nasal barhi thi, sab ko laikar chalay. Aur aap khufya taur per Egypt janay ka irada rakhtay thay.
Rastay me, during the journey, aik martaba intahai tareek aur thandi raat (dark n freezing night) ne un ko aa lya. Jis ki wajah se aap hazraat rasta bhatak gae. Phir “Chaqmaaq” k patharoun se aag jalanay ki bar bar koshish ki but thand intahai sakht thi. Jiski wajah se aag na jail aur rastay ka kuch pata na chala.
Abhi Musa isi pareshani se dochaar thay k “Koh-e-Toor” per dour aag dikhae di, jo k Musa k right side pe tha.
“Aap ny aag daikhtay hi apnay ahl e khana ko kaha k tum yaheen thehro, mujhay aag mehsoos hue hai. Shayad main wahan se kuch pata la’aoun ya aag ka angarah la’aoun ta k tum senk sako… “ (Surah e Ta’ha, 9, 10)
Musa A.S ne jis ko aag samjha tha, haqeeqat me wo tau “Noor-e-Ila’ahi” tha. Aur her aik Usko daikhnay ki ahliyat (ability) nahi rakhta tha. Subhan’Allah
Tau Allah Ta’ala farmatay hain:
“Phir jab wo is k pass aye tau un ko Mubarak jagah me wadi ki daa’een (right) traf aik darkht/ tree se awaz di gae:
Ae Musa, MAIN ALLAH HOUN, TAMAM JAHAN’OUN KA PARWARDIGAAR..”(Srah e Qasas)
Surah-e Namal me youn farmaya:
“Phir jab wo us k pass aye tau unko nida (awaz) di gae k aag me aur jo kuch is k ird-gird hai, barkat di gae hai. Aur Allah Pak hai jo tamam jahanun ka paalnay wala hai…”
Means, beshak Wo pak o saaf aur qudrat wali Zaat hai. Jo chahti hai karti hai. Aur jis cheez ka irada karti hai, hukm day daiti hai. Agay farmaya:
“Ae Musa, beshak Main ALLAH houn. Zabardast hikmat wala…”
0 Comments