Hazrat Musa A.S k hath se qatal

8:23 PM

Aap k bachpan k qissay k baad ab Allah Ta’ala aap ki jawani aur taqat ka zikr farma rahy hain. Aur aap ka ye zamana ikhlaq aur khulq (banawat e jism) k complete honay ka tha. Aur aksar qaul k mutabiq ye zamana apki 40 saal ki age ka tha.
Aur us waqt Allah ne apko Apnay waday k mutabiq Nabuwat o Rasalat se nawaza.
Aik baar Musa sheher me enter hue, wo subah sadiq ka waqt tha, sheher walay ghaflat me thay.
Musa ny daikha k do admi apsa me larr rahy hain, aur aik dosray ko maar kar khatam karny ki koshish kar rahy hain. Aik admi Musa k group se tha (means Bani Isra’ael se) aur dosra Fir’oun k group se tha.
Jo shakhs Musa k group se tha, us ne Musa A.S se help maangi. Because Musa Egypt me Fir’oun k “lay-palak” betay ki hesiyat se famous thay. Aur is wajah se unka roa’b tha.aur Musa ko doodh pilanay ki wajah se ‘Bani Isra’ael’ martabay aur izzat walay hogae thay (because Musa ki Maa Bani Isra’ael se theen).
Tau Musa A.S us admi ki madad ko phunchay. Us dosray admi ko “mukka” (punch) mara tau wo marr gya (aur wo dosra admi kufr o shirk karny wala tha), but Musa ne usko qatal ka irada na kia tha.
Hazrat Musa ne foran kaha k ye shetaan k behkaway ki wajah se hua hai. Beshak wo khula gumrah karny wala hai.
Next day Musa khauf-zada halat me dobara sheher me enter hue tau daikha k wohi kal wala admi aik aur “Fir’ouni” se larr raha hai. Aur aap se madad maangi.
Musa A.S ne usko jharka k tu gumrah shakhs hai. Aur larai khatam karany agay barhay tau wo admi darr gya aur kaha k kal jis trah aap ne aik admi ko qatal kia tha, aap aj mujhay bhi maar daingay??
Us bewaqof ne Hazrat Musa k raaz ko faash kar dya aur jo kehna tha keh dya.
Fir’oun ko khabar phunch gae k “Fir’oun k group” k admi ka qatal Musa ne kia hai. Lehaza us ne Musa A.S ko arrest karnay k lye admi bhej dye. But un k phunchnay se pehlay hi Hazrat Musa ka aik khair khuwah bhaga hua aya aur inform kia k apko pakarnay k lye Fir’oun k admi arahay hain k apko qatal karain. Bus jaldi se Misr ne nikal jao.
Tau Musa khauf-zada halat me niklay. Unko kisi rastay ka bhi ilm na tha k kahan jaengay. Bus jo rasta agay para, chal paray… aur zaban pe Khuda se faryaad jari rakhi

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *