Hazrat Musa A.S ki Parwarish (brought up) Fir’oun k ghar

8:26 PM

Jab Asiyah ne sandooq ka dhakkan khola aur ouper se kapra hataya tau chand chehray wala aik intahai khoobsurat bacha daikh kar uski muhabbat un k dil me foran paida hogae.
Phir Fir’oun ko pata chala tau us ny us bachay ko zibah karny ka hukm jari kia.
Phir tau Asiyah ne us k bachao k lye Fir’oun se iltejah ki aur kaha k ye meri ankhoun ki thandak hai aur teri bhi…
(tawajjah kijye) Fir’oun ne jawab dya, ye teri ankhoun ki thandak hoga, meray lye nahi hai. Means mujhy is ki koi zarurat nahi hai. Aur actualy ye bad-kalami usko maar gae.
Riwayat hai k agar Fir’oun keh daita k ye meri ankhoun ki bhi thandak hai tau wo hidayat se behramand hojata.. (matlab hidayat paa laita)
Us k opposite Asiyah ne farmaya, qareeb hai k ye bacha humay Nafa’a dai ya hum isko apna beta hi bana lai. Aur youn hi hua k phir ye dono ka “lay-palak” beta ban gya. (kiun k un k haan aulad na hoti thi)
Dosri traf Musa ki maa bachay ki judai se bechain theen. Agar Allah Ta’ala un k dil ko mazboot na kar daitay tau wo apna sabar kho beth’ti aur Allal-elaan us k mutaliq pouch guch karti phirti..
Jab Musa A.S Fir’oun k ghar phunch gae tau un hi logoun ne un ki ghiza aur parwarish ka iradah kia. But Musa ny ksi aurat k doodh ko qabool nahi kiya. Aur na hi koi ghiza khai.
Farman e khuda wandi hai k “Aur Hum ne us per pehlay se (sab k) doodh haram kar dye thay)
Hatta k Fir’oun k ghar walay Musa A.S k lye itna pareshan hue k “dayoun” (midwifes) k sath unko sheher aur bazar wagera me aurtoun k pass bheja k shayad ksi aurat ka doodh unko mawafiq ajae aur ye usko pasand karlain..
Al-gharz log us bachay k doodh k mutaliq pareshan thay aur sab us per jhukay paray thay k achanak (Musa ki) behan ne bhai ko daikh lya aur behan ne haqeqat ko posheeda rakhtay hue logoun se kaha k main tum ko aisay ghar waloun ka bataoun jo tumharay lye iski kafalat kar skty hain aur iski parwarish me tumharay khair khuwah houn??
Logoun ne us ki baat maan li aur us k sath bachay ko lay gae.
Wahan ja kar bacha Maa ko dya (unko kia pata tha k yhi iski sagi maa hai) lehaza jab wo doodh pilanay lageen tau bachay ne khoob ji bhar kar doodh piya. Sab log jo pareshan thay, khush hogae.
Asiyah ne us aurat means Umme Musa ko apnay pass reh kar Musa ko paalnay ko offer di, jo unho ne apnay baqi bachoun ki wajha se mana kardi.
Tau Asiyah ne bachay ko Maa k sath bhej dya aur un k lye wazeefa (as salary) muqarrar kar dya. Aur dosra saman, tohfay wagera bhi sath kye.
Is trah Allah Ta’ala ne dono jigroun ko dobara mila dya. (Bulkay pehlay khauf tha, ab sarkari qanoon k tahaffuz k sath dobara sath hogya. Subhan Teri Qudrat)..

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *