Mannat Maanna ya Nazar Maanna

8:26 PM

MANNAT

Mannat maanna ya nazar maanna iske bare main dekhen Quran kya kahta hai...
Allah Taala farmate hain Ayat 270 Surat Al Baqarah..
Aur jo bhi tum kharch karoge koi bhi kharch karne ki chez ya tum koi nazar manoge ya mannat to beshak Allah jaan lega usko.. aur zalimo ke liye koi madadgaar nahi.
Is ayat main 3 batain kahi gayen hain.
1...Jo bhi tum kharch karte ho Allah ko sab khabar hai.
Jo bhi hum kharch karte hai thoda ya zyada Allah ke raste main ya Shaitaan ke raste main .. khud par ya ghar valon par ya rishtedaro par ya miskeeno par ya Allah ke nafarmani vale kamo par ya apni khwaishaat pori karne ke liye chupe ya khule Allah ko ak ak chez ka pata hai...ak ak chez record ho rahi hai ..jaise jab hum debit card use karte hain to ak saath sare expenditures ki list aa jati hai..aese hi Allah ke paas bhi sab record ho raha hai...ki kon kahan apna maal kharch kar raha hai.
Ye kabhi nahi bhoolna chahiye ki maal dene vala Allah hai vo agar behisaab de sakta hai to ak jhatke main sab cheen bhi sakta hai..insan uski nafarmani karke kahin bhag nahi sakta.
Jaisa ki Surah Tauba ayat 121 main farmaya..
9 : سورة التوبة 121
وَ لَا یُنۡفِقُوۡنَ نَفَقَۃً صَغِیۡرَۃً وَّ لَا کَبِیۡرَۃً وَّ لَا یَقۡطَعُوۡنَ وَادِیًا اِلَّا کُتِبَ لَہُمۡ لِیَجۡزِیَہُمُ اللّٰہُ اَحۡسَنَ مَا کَانُوۡا یَعۡمَلُوۡنَ ﴿۱۲۱﴾
Aur jo kuch chota bada inhone kharch kiya aur jitne maidan inko tay karne pade ye sab bhi in ke naam likha gaya taake Allah Taala in ke kaamon ka achche se achcha badla de.
2..Jo tum mannat ya nazar maante ho vo bhi Allah ko pata hai.
NAZAR MAANNA KYA HAI ???
Agar insan par takleef ya musibat aa jati hai to vo Allah se dua karta hai ki Allah agar ye musibat tal gaye ya ye kaam ho gaya to main e.g..itne roze rakhunga ya itna sadqah karunga...ya itne logon ko khana khilaonga...yani Allah se vada karna ke agar mera kaam ho jayega to main ye ye naiki ke kaam karunga.
NAZAR KI CONDITIONS. ...
📝sirf Allah se maannna Allah ke alava aur kisi se nahi mannna.
📝sirf jayaz chezo main mannna .
📝haraam chez ke liye nazar nahi mani ja sakti .
📝kaam pora jo jaye to nazar pori karna wajib ho jata hai.
📝Nazar se behtar roza hai..namaz ke baad dua karna chahiye.
Ye ak napasandida amal hai kyonki hum Allah ke saath condition lagate hain..jo galat hai..ak baat yaad rakhni chahiye taqdeer likhi ja chuki hai ..nazar maanne se Taqdeer nahi badalti.
Lekin dua aur sadqe se Allah ka gazab dhanda hota hai..
Jab bhi koi musibat ya pareshani aaye to jo aap mannat mannne ke baad kaam karne vale ho vo pehle karke Allah se dua kare..
Nazar pasandida nahi hai lekin Shariyat main allowed hai.
Nazar hamesha Allah se maanni chahiye .kyonki dene vala vohi hai.
Ye kahna ki ye kaam ho gaya to main us dargah par chadar chadhaonga etc shirk hai...aese shirk se bachna chahiye na kabhi aesi nazar manni chahiye.
Nazar maanne ke baad vo cheez aap par farz ho jati hai..jaise itna sadqa karenge ..kaam ho gaya aur nahi kiya to galat hai.
Ye allowed sirf isliye hai ki ak insan jo ibadat nahi karta sadqa nahi karta jab musibat aati hai to nazar maankar ..vo sadqah karta hai..ibadat karta hai.
3..zalimo ka koi madadgaar na hoga.
Yahan zalim vo hai jo Allah ke raste main kharch nahi karta ..apni khwaishaat par shaitaan ke raste main kharch karta hai...agar kharch karta bhi hai to logon ko dikhane ke liye..jispar kharch karta hai uspar ahsaan jatata hai..use takleef deta hai.
Jo nazar maanta hai phir use pori nahi karta..vo bhi zalim hai .
Aese zalimo ko phir Allah ke gazab se koi nahi bacha payega unka koi ansaar yani madadgaar na hoga.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *