Hazrat Muhammad SAW ke wafat par Hazrat Abu Bakr R.A ka sabr-o-isteqamat

3:17 PM

Hazrat Abu Bakr R.A ka sabr-o-isteqamat

Hazrat Abu Hurerah kehtay hain, us hi waqt Abu Bakr aye aur Umar R.A ki guftugo ki traf kuch mutawajjah na hue aur sedhay hujrah k andar dakhil hogae.
.
Rasool Allah ﷺ k ouper aik Yamni chadar daal rakhi thi. Hazrat Abu Bakr ne Rasool Allah ﷺ ka chehrah mubarak khool kar bosa dya aur farmaya,
..." Mere maa baap aap ﷺ per fida houn. Jo maut Allah Tala'a ne aap ﷺ k lye likhi thi, us ko aap ﷺ ne chakh lya hai. Ab is k baad aap ﷺ ko maut na phunchay gi..."
.
Phir Abu Bakr ne Rasool Allah ﷺ ka chehra mubarak dhak dya aur bahar aye.
Umar logoun se wo hi guftugo kar rahy thay.
Abu Bakr R.A ne kaha, "Umar peechay hato aur khamosh raho..."
Magar Umar khamosh na hue . Jab Abu Bakr ne dekha k Umar chup nahi hotay tau logoun ki traf mutawajjah hue. Logoun ne jab Abu Bakr ki baat suni tau sab un k pass agae aur Hazrat Umar ko chorr dya.
.
Abu Bakr ne Allah Ta'ala ki hamd-o-sana biyan ki, phir kaha,
.
...." Logo! Jo log Muhammad ﷺ ki ibadat aur parastish karty thay, tau sunn lain k Muhammad tau inteqal farma chukay hain.
Aur jo log Allah ki ibadat kartay hain tau Allah beshak zinda hai aur kabhi marnay wala nahi hai..."
Phir Abu Bakr R.A ne ye ayat parhi:
..Wama Muhammad ur Rasool....................Alakh...."
.
...Riwayat hai k Abu Bakr ne jab ye ayat parhi tau log aesay hogae k goya unho ne kabhi ye ayat suni hi na thi aur us waqt logoun ne hazrat Abu Bakr se is ayat ko yaad kia.
.
Umar R.A kehtay hain k jis waqt main ne Abu Bakr se ye ayat suni, mujh ko maloom hua k goya meray pair kat gae aur main khara na reh saka.
Us hi waqt zameen per gir para aur main ne samjh lya k Allah k akhri Rasool, Sawar-e-Kainat Hazrat Muhammad ﷺ ka wisaal hogya hai.
.........x..........THE END.........x...........

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *