Hazrat Muhammad SAW ka Masjid me tashreef-awri

3:10 PM

Masjid me tashreef-awri
.
Ibne Ishaq kehtay hain k, ... peer (Monday) k roz Subah k waqt Rasool Allah ﷺ sir ko bandhay hue tashreef laye, logoun ne aap ﷺ ki ahat sunn kar suf / row me jagha chorr di.
Abu Bakr R.A logoun ki ahat sunn kar samjh gae k Rasool Allah ﷺ ki tashreef-awri se suf me ye harkat hue hai.
Hazrat Abu Bakr peechay ko hatay, aap ﷺ ne apna hath Abu Bakr ki pusht/ back per rakh kar ishara kia k apni jagha kharay raho aur khud Rasool Allah ﷺ ne Abu Bakr k pehlo me beth kar namaz parhi.
.
Jab namaz se farigh hue tau logoun ki traf mutawajja ho kar aesi buland awaz se farmaya jo masjid se bahar tak ja rahi thi k :
......" Ae logo! aag roshan ho gae aur fitnay andheri raat k tukroun/ pieces ki trah agae hain.
Aur Khuda ki qasam! Main ne tumharay lye wo hi cheez halal ki hai jo Quran ne halal ki hai aur wo hi cheez haram ki hai, jo Quran ne haram ki hai..."
.
Phir Rasool Allah ﷺ jab us guftugo se farigh hue tau Abu Bakr ne arz kia, ....
....." Ya Nabi Allah ﷺ! Main dekhta houn k aap ne Allah k fazal aur nemat k sath subah ki hai, jaisa k hum chahtay hain. Aur aaj ka din binte Kharjah ka din hai, kia main us k pass se ho aaoun...?"
.
Hazoor ﷺ ne farmaya: "Haan"...
.
Phir Rasool Pak ﷺ apnay dolat khanay me dakhil / enter hogae aur Hazrat Abu Bakr apnay ghar chalay gae.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *