Taqdeer banana (Islamic Article) Hindi ~ Urdu
1:50 PM
Assalamu Alaikum Warahmathulillahi Wabarkatahu
💠Agar Aisa Karte To Aisa Naa Hota" Kehna Shirk Hai💠
☆...Insaan Apni Tadbeer Aur Aqal Par Bharosa Kar Le Aur Ye Kahe Ke "Agar Aisa Karte To Aisa Naa Hota" Ye Kehna Shirk Hai. Kyun Ki Ye Allah Ta'ala Ki Taqdeer Ka Inkaar Hai.
Irshad-e-Baari Ta'ala Hai
Li-kulli 'Ummatin 'ajal: 'Izaa Jaa-'a 'ajaluhum falaa yasta-khiruu-na saa-'atanwwa laa yas-taqdi-muun.
Yaani:
Ek Ummat Ki Halaakat Ka Waqt Muqarrar Hai. Jab Un Ki Mout Ka Waqt Aajaata Hai To Naa Ek Ghadee Aage Ho Sakti Hai Aur Na Ek Ghadee Peechhe Ho Sakti Hai.
📓 Sure Yunus:10/49
Allah Ta'ala Ka Yeh Qaanoon Hai Isi Par Ahl-e-Eemaan Ka Yaqeen Hai. Lekin Munaafiqeen yeh Samajhte The Ke Ladaayee Aur Jihad Mein Hissa Lene Se Woh Maare Gaye Aur Kahte Ke Bari Jis Tarah Allah Ne In Ke Baare Mein Irshad-e-Ta'ala Hai.
Qul-law Kuntum Fii Buyuutikum Labaraz-Laziina Kutiba Alay-himul-Qatlu ilaa Mazaaji-Ihim;
Yaani:
( Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam )Ap Keh Deejiye Agar Tum Apne Gharon Mein Bhi Hote To Jinki Mout Likhi Huyer Hai Woh Khud Apni Qatal Gaahon Ki Taraf Nikal Aate."
📓 Sura Al-e-imran:03/154
Ek Aur Muqaam Par Munaafiqeen Ka Yeh Qual Duhraaya Gaya Hai.
'Allaziina Qaaluu Li-'ikh-Waanihimwa Qa-'aduu law 'Ataa-'uunaa Maa Qutiluu.
Yaani:
Yeh ( Munaafiqeen ) Wahi Log Hain Jo Khud To Baithe Rahe Aur Unke Jo Bhai Ladne Gaye The Un Ko Kaha Agar Woh Hamari Baat Maan Jaate To Maare Naa Jaate.
📓 Sure Al-e-Imran:03/168
Unka Aisa Kahna Taqdeer Ka Inkaar Hai, Aur Aaj Kal Musalmano Ki Zabaan Se Bhi Aisi Hi Baatein Nikal Jaati Hain. Jo Eemaan Ke Khilaf Hai. Allah Ta'ala Farmata Hain.
Qul Fadrauu 'An 'Anfusikumul-Mawta 'In Kuntum Saadiqiin.
Yaani:
"( Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ap Kah Deejiye Agar Tum Apne Qaol Mein Sachche Ho To Khud Tumhari Mout Jab Aye Taal Kar Dikha Dena."
📓 Sura Al-e-Imaran:03/168
Is Sey Maaloom Hua Ke Har Cheez Ka Waqt Muqarrar Hai. Aur Yeh Allah Ta'ala Ki Muqarrar Ki Huyee Taqdeer Hai.
In Hawaalaon Se Maaloom Hua Ke Aise Shirkiya Kalimat Jis Se Allah Ta'ala Ki Taqdeer Ka Inkaar Ya Insaani Dimaagh Aur Tadbeer Se Muqarrarah Waqt Ke Tal Jaane Ka Yaqeen Rakhna Shirk Hai. Jo Bhi Hoga Allah Ta'ala Ke Hukum Aur Ilm Se Hoga Hamara Kaam Koshish Karna Aur Nateeja Allah Ke Supurd Kar Dena Hai. Islye Ye Kahna Ke Aisa Karte To Aisa Na Hota. Shirk Hai. Isliye Bade Ehtiyaat Se Zaban Kholna Chahiye Allah Ta'ala Hamari In Ghaltiyon Ko Jo Aksar Zaban Se Nikal Jaati Hao Maaf Farnaye Ameen
"Jazakallah Hu Khairan"
0 Comments