SURAH E BAQARA TAFSIR PART 4
6:24 AMGLORIOUS QUR'AN
PART 4
SURAH BAQARAH
SUMMERY
26....Sahaba ne haiz ke bare main poocha ki ye kya hai to Allah Ta'alah ne uska javab diya.
27....qasme khane main Allah ke naam ka galat istemal karne ko mana kiya gaya.qasam khane par bhi pakad hogi.agar Allah ka naam lekar qasam khaye aur use pora na kiya to.
28.....agar koi shohar apni bivi ke paas na jane ki qasam kha le to aurat sirf 4 mahine intezaar karegi kya process hogi uski detail bataye gaye.
29....Talaq ka pora process bataya gaya .ki kaise di ja sakti hai kya stages hain etc.
30....Talaq hone ke baad agar bivi bachche ko doodh pila rahi hai to uska mamla kya hoga vo bataya gaya.
31...Beva ki iddat kitni hogi vo bataya gaya.
32...mehar ada karne ki conditions bataye gayeen.
33....phir Taloot Jaloot aur Daud alehsalam ka kissa bataya gaya.
34.....phir third pare main bataya ki Allah ne ak rasool ko dosre rasooloon par fazilat di hai.
35......phir Allah ki rah main maal kharch karne ko kaha gaya.
36.....phir Ayatal kursi hai jisme Allah Ta'alah ka introduction hai ki vo zaat kaisi hai jiski ibadat ki jati hai.
37....deen main koi zabardasti nahi hai .jo Allah ki ibadat karega vo apne liye ak mazboot sahara payega.
38....phir Ibrahim alehsalam aur Namrood ka kissa aaya.
39..ak shaks ka zikr hua jise Allah ne 100 saal maar kar phir zinda kiya.
40...Sadqe dene ki ahmiyat main 14 ayate hain.
41...bataya gaya ki apne sadqe ko ahsaan jata kar takleef dekar zaya na karo.
42...sadqa zahir karke aur chupakar dono tarah diya ja sakta hai.
43...sadqa kin logon ko de vo bataya gaya.
44...phir interest par ayateen hain jo sood interest riba lega vo Allah aur uske rasool se jang karne ke liye tayyar rahe.
45...qayamat ke din sood lene valoon ka kya haal hoga ye bataya gaya.
46....Bataya gaya ki sadqa dene se maal main barkat hoti hai aur interest lene se barkat utha li jati hai.
47...qayamat ke din se daraya gaya.
48.....phir ayate dain hai Qur'an ki sabse lambi ayat no ..282 isi surah main jisme bataya gaya hai ki jab business main udhaar ka leen deen karo to likh liya karo gavahoon ki maujudgi main.
49....agar safar kar rahe ho aur business deal karni hai to kaise hogi.
50....last ki 2 ayate ayat 285 - 286 bahot meaning full hai aur roz raat ko padhkar sone ka hukum hai.ye dua hai ki hum sab par imaan laye hain.Ae Allah hum par aesa boojh na dalna jo hum utha na payeen. Hamain mauf kar dena baksh dena hum par raham karna hamari madad karna.
Ye Surah Baqarah ki short summary thi next part se insha Allah hum ak ak ayat ko samjhenge.
Isme shariyat ke ahkaam hai jo Allah ta'alah ne khud decide kiye hain hamain jaisa ye diye gaye hain vese hi follow karna hai.hum apni marzi se Allah ka koi kanoon change nahi kar sakte muslim hone ke nate muslim shariyat par hi chal sakte hain.
To be continued. ...........

0 Comments