The importance of Qul Ho Allah Ahad in Hindi and Urdu

7:20 PM

AHAD AHAD

Qul huwallahu ahad.......aap SAW kah dijeye ki Allah ak hi hai.....

LAILAHAILLALLAH. ...

Ye koi mamuli sentence nahi ....qayamat ke din jab meezan main rakha jayega to sabse bhari hoga.meezan ko jhuka dega.jis shaks ko marte vaqt ye kahna naseeb ho gaya uske gunah mauf kar diye jayenge. Jab bachcha bolna seekhta hai to sabse pehle isko ye bolna sikhaya jata hai.

ye vo hai jiski khatir Aap SAW ne sahaba ne itni takleef uthai kitne logon ne apni jaan de di.jab koi Islam ki boundaries main aata hai to usko yehi padhvaya jata hai. Iske bagair koi muslim ho nahi sakta. Ye ak contract hai jo banda Allah se karta hai jiske badle main jannat hai.lekin is contract ke kuch clues hain dos and don’ts hain agar insan is contract ko pora nahi karta isme khyanat karta hai Allah ko dhoka deta hai..to usne apni pori zindagi jitne bhi achche kaam kiye hote hain . Allah ta'alah sab ko zaya kar dete hain aur uske liye jahannum ki aag likh dete hain hamesha hamesha ke liye.

Ye vo sentence hai jispar pora Qur'an pora islam based hai.
Isliye isko samjhna bahot zyada zaruri hai.

Jab Ibrahim alehsalam ko hukum hua ki apni bivi aur bachche ko Makkah chodh aao to isme Allah ta'alah ka purpose tha Allah Ta'alah ko unki generation main aap SAW ko paida karna tha ...Ismael alehsalam ke kafi saloon baad tak Makkah main ak Allah ki hi ibadat hoti thi...lekin ye shaitaan ko pasand nahi ki insan jannat main jaye isliye uska tariqa hai ki vo insan se shirk karvaye kyonki shirk ke saath insan chahe pori zindagi bhi naik kaam karta rahe usko uska koi badla nahi milta ..
Jo Allah ki ibadat nahi karta usse shaitaan ko koi problem nahi hoti unlogon ko to shaitaan apna dost samjhta hai.unke saath to khoob enjoy karta hai.lekin jaise hi banda la illaha illah kahta hai vo active ho jata hai apni armies uske peeche laga deta hai koshish karta hai ki ye sentence bol kar bhi bande se shirk karvaye taki uske sare naik kaam zaya ho jayeen.

Bas aesa hi makkah valoon ke saath bhi hua ..us zamane main Makkah ka chief Amr bin lohayye tha vo ak baar business trip ke liye syria gaya vahan usne kuch logon ko idol worship karte dekha to use bahot attractive laga shaitan ne apna kaam kiya aur vo kuch idols apne saath le aaya...bas phir kya tha dhere dhere sab ak Allah ki ibadat ko bhool gaye kaba jisko Allah ta'alah ne ibrahim alesalam se apna ghar banvaya tha usi kabe main Makkah valoon ne 360 idols rakh diye saath ki Ibrahim alehsalam aur ismael alehsalam ka bhi idol tha.
Kabe ki custody Quraish jo ak Makkah ka qabila tha uske paas thi.vo Makkah ke leaders ban gaye door door se log aate aur apna idol kabe main rakhvate saath hi unko bahot se nazrane dete jisse Quraish ko bahot paisa milta unki bahot izzat thi .ye idols ki vo worship bhi karte saath ki business bhi hota ..

Jab Aap SAW ko Allah ne apne message send karne ke liye chuna to aapne logon se kahna shuru kiya ki la illaha illah yani nahi hai koi bhi ibadat ke qabil sivaye Allah ke yani sirf ak Allah hai ak se zyada nahi hai sirf ak Allah ki ibadat karo....
Phir thoda thoda quran nazil hona shuru hua ...jiske mutabiq...
1...koi chota bada nahi Allah ki nazar main sab barabar hain.

2...insaf karne ko kaha gaya.

3...sadqa karne ko kaha gaya.

4..aurat ko ak status diya gaya varna vo bachchi paida hote hi zinda dafan kar dete the.

Isse dhere dhere log muslim hone lage jisse Quraish ko khatra mehsoos hua ki vo jo unhone idols ka pora ak economic system bana rakha hai uska kya hoga ak Allah ki ibadat vo bhi jo dikhaye na de aur uska koi idol bhi na ho....to unhone zulm karna shuru kar diya jo kahta la illaha illah yani ak Allah aur koi nahi usko vo bahot marte physically mentally torture karte ki mat bolo ki ak Khuda hai bolo ki ye sare bhi khuda hai.

Aap SAW par Qur'aan aata to aap batate ki jab hum mar jayenge to dobara uthaye jayenge phir Allah ta'alah ak ak baat ka hisaab lenge to aap ko kahte ki aap pagal ho chuke hai majnoon hain aap par koi jinn aa gaya hai aap ka masaq udhate .

Zulm ki inteha karte Hz Billal ki gale main rassi daal kar kheechte unhe garam rait par lita dete oper se bade patthar rakh dete tab bhi Hz Billal kahte AHAD AHAD yani vo bas ak hai. ..ak hai.. kitne logon ne apni jaan di sirf is sentence ki vajah se...

Aap SAW ki do betiyoon ka nikah ho chuka tha jab aapne ye kahna shuru kiya to Abu lahab ne apne betoon se kaha ki dono ko talaq dedo...

Aap SAW jab kabe ke saamne namaz padhte to masaq udate jab sijde main jate to oont ki peet ki gandagi aapke oper daal dete ....13 saal itna zulm saha Aap SAW ne ...

Aap farmate the chahe koi maar dale ya jala de kabhi Allah ke saath shirk na karna.

Makkah vale humse zyada sachche the vo jante the ki agar humne bhi kah diya to iske taqaze pore karne honge vo apne vade ke pakke hote the.ki phir hum kabhi bhi kisi aur ki ibadat nahi kar sakte...na agar koi ibadat kar raha ho usme shareeq ho sakenge ...phir hum khayenge kya sara business khtam ho jayega...humari izzat chali jayegi aap SAW ko apna leader manna hoga...ghulamoon ko barabari deni hogi...aurat ki izzat karni hogi...isse behtar hai ki inhe hi rok do. Ye log aap SAW ke paas aaye ki aesa kariye ki ak saal hum Allah ki ibadat karenge Ak saal aap hamare butoon ki .aapne saaf mana kar diya to kahne lage achcha sirf apna haath hamare but par rakh deen to foran jibrael alehsalam aaye ki nahi aap aesa nahi kar sakte DEEN MAIN ALLAH KE SAATH KOI COMPROMISE NAHI HOGA.

Is ak sentence ke liye kitne sahaba ne apni jaan de di..Aur oper se Allah ka hukum aa raha tha ki ye jo bhi kar rahe hain sabr karo inko palat kar marna nahi hai ladhna nahi hai sab bardasht karna hai.
Itne zulm ke baad bhi..unko taras nahi aaya boycott kiya sare muslims ko majboor hokar sabko apna ghar chodh kar ak vallay main panah leni padi. Jahan muslim 3 saal rahe isi doran bhook aur takleef ki vajah se aap SAW ki beloved wife Hz Khadija ka inteqaal ho gaya jisse aapko bahot sadma laga thode dino baad Aapke chacha Abu Talib ka bhi inteqaal ho gaya jinhone bachpan se aapko pala qadam qadam par aapki madad ki jab vo marne lage to aapne unse kaha ki ak baar la illaha illah padh lijeye..lekin unhone nahi padha...ki log kya kahenge apne baap dada ka deen chodh diya.

Aap SAW ne bataya ki unki zindagi bhar ki naikiyoon ka unhe koi bhi savab nahi milega aur unko jahannam main aag ke jute pehnaye jayenge jissse unka sar ublega.

Abu Taalib aur hz Khadija ke inteqaal ke baad koi nahi tha jo aap ko protect karta isliye aap Taif gaye ki shayad vahan ke log madad kareen lekin vahan ke logon ne bhi sirf is ak sentence ki vajah se banchcho ko peeche laga diya jinhone aap SAW ko pattharoon se mara.jisse aspke jute khoon main bhar gaye..

Uske baad aap phir Makkah aaye to is baar pore Makkah valon ne aapko jaan se marne ki koshish ki to Phir Madina valoon ne aapko support kiya aur aap ne Madina hijrat ki... baat yahan khtam nahi hui ...yahan bhi aa aa kar ladai ki jo Islam ki jange hue hange Badr jange Ohad...etc...

Ye sab hum insha Allah jab seerat padhenge to detail padhenge ..yahan batane ka maqsad ye hai ki jab hum laellaha illah bolte hain to simple ak sentence nahi hai pora islam hai .. one third Qur'an sirf is ak sentence par based hai.agar hum isi ko nahi samjhenge to chahe phir kitna bhi naikiyaan kar leen kitni bhi namaze padh leen roza sadqa de deen koi fayeda nahi hoga...

To be continued. ....

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *