HUTAMA( Allah ki Aag)
7:07 PMAllah ta'alah ne insan ko banaya phir insan ke liye khoobsurat duniya banaye .taki vo is duniya main sukoon se rahe aur Allah ki ibadat kare aur Allah ne jis cheez ko halal kaha vo kaam kare aur jin kamoon ko haram kaha usse bach jaye.
Isi tarah ak insan ki jaan, maal aur uski izzat dosre par haram ki ....yani koi kisi ki jaan nahi le sakta koi kisi ka maal cheen nahi sakta aur koi kisi ki izzat uchal nahi sakta.
Har insan Allah ki nazar main mohtaram yani qabile izzat hai....jaise ak Rs 500 ka note chahe ameer ki pocket main ho ya gareeb ki ya kachre main pada ho uski value Rs 500 hi rahegi...isi tarah se insan chahe koi bhi ho Allah ki nazar main sab barabar hain.Allah Ta'alah ne ijazat nahi di ki uski izzat ko nuqsaan pahunchaya jaye.
Aaj hum kuch aese gunahoon ki baat karenge jinhe hum bahot mamuli samjhte hain aur din raat karte hain aur mamuli samjhne ki vajah se tauba bhi nahi karte jiski vajah se vo hamare aamaal name se mitaye bhi nahi jate aur jinki saza hamain qayamat ke din apni naikiyaan de kar chukani hogi. ..baat yahin khtam nahi hogi aese gunahoon ke liye hutama hai.
Ye gunah jinki hum baat kar rahe hain vo hain.
1...gheebat karna yani back biting karna ..logon ki buraye jo unke ander hai jo ki sach bhi hai vo unke peeth peeche karna.
2...haatho ke aakhoon ke ishare se kisi ko zaleel karna uska masaq udana.
3.......badgumani ki buniyad par kisi ki aesi buraye karna jo usme na ho ise ilzaam kaha jata hai.
4.....do logon main ladai karvana idher ki baat udhar karna. Chugalkhori karna.
5...logon ko bure namoon se pukarna jaise
Vo andha hai.
Vo ganja hai
Vo chor hai
Vo dhokebaaz hai
Vo kitni jaldi namaz padhta hai.
Usme to manners hi nahi jahil hai.
Vo zakat nahi deta.
Vo bahot rude hai.
Vo arrogant hai.
Uski naak moti hai .
Vo kala hai.
etc...ye vo batain hain jo hamare liye bahot normal hain lekin Allah ki nazar main ye bahot bade bade gunah hain.
QUR'AN
SURAH HUJRAAT
AYAT 12
Ae logon jo imaan laye ho bacho bahot se gumanoon se ..beshak baaz gumaan gunah hote hain.tajassus( yani chupke se janne ki koshish karna ki uski zindagi main kya ho raha hai) na karoo ak dosre ki burai ya gheebat na karo.kya tum main se koi ye pasand karta hai ki vo apne mare hue bhai ka goosht khaye. Jab ki ye baat tumhe na gavar hogi.to phir Allah se daro gheebat chugli se tauba karo beshak Allah tauba qubool farmata hai aur bahot raham farmane vala bhi hai.
HADEES
AAP SAW ne farmaya tumhe pata hai gheebat kya hai...ki tum kuch aesa apne bhai ke bare mai kaho jo use pasand na ho..sahaba ne poocha ki agar hum vo baat kahe uske bare main jo sahi ho.to aap SAW ne farmaya tab vo gheebat hai aur agar tum vo kahoge jo uske bare main jhoot hai tab vo ilzaam hai.
Muslim
HADEES
ak baar aap SAW ka guzar do qabroon par hua jin par azaab ho raha tha ...aap SAW ne bataya ak par isliye azaab ho raha hai kyonki vo urine ki cheentoon ka dhyan nahi rakhta tha yani dhota nahi tha yani jismani gandagi ke saath rahta tha aur dosra chugalkgori karta tha logon ko ladvata tha.
Bukhari n muslim
HADEES
Aap SAW ne farmaya jab insan subah sokar uthta hai to body ke sare parts tongue ko warn karte hain ki Allah se darna agar tum sahi rahogi to hum bach jayenge lekin agar tumne gunah kiya to hum saza bhuktenge.
Tirmizi
Zaban insan ki body ka sabse khtarnaak organ hai.ye chahe to bande ko jannat main le jaye aur ye chahe to jahannam main le jaye . isliye kaha gaya ki apni zaban ko Allah ke zikr se tar rakho hamesha Allah ka zikr karte raho jisse shaitaan bhag jata hai.
Qayamat ke din....
Qayamat ke din insan ke paas dirham aur dinaar nahi honge jab hisaab hoga insano ke beech to agar kisi ki gheebat ...chugli..ya ilzaam lagaya hoga to apni naikiyaan jaise namaz ..roza..dena hoga. badle main ...isliye hamare liye achcha hai ki agar duniya main ye gunah kiye hoon to yahin us bande se aur Allah se maufi mang leen aur us bande ke liye dua kareen jis par aapne ye zulm kiya hai. Varna qayamat ke din apni naikiyaan deni hongi.
Kis condition main burai karne ki ijazat hai......
1...agar aap par zulm hua hai to aap jisse faisla chahte hain use sari baat bata sakte hain.
2...agar rishte ki baat chal rahi ho aur aap jante hain ki ladka ya ladki achchi nahi to aap isharoon main kah sakte hain ki vahan rishta na kareen.
3...agar koi kisi ke saath business karna chahta hai aur aapko pata hai ki vo imaandaar nahi to bhi bata sakte hain ki business na kareen.
Iske alava burai karne masaq udane idher ki baat udher karne ki ijazat nahi hai.
HUTAMA jahannam ki aesi jagah hai jo closed hai microwave oven ki tarah jahan aib lagane vale gheebat chugli karne valoon ko rakha jayega vahan pillars honge chains hongi log bandhe honge aur phir unhe jalaya jayega ...vo aag Allah ta'alah ki khud ki sulgayegi hui hogi jo duniya ki aag se 69 times zyada hogi jo seedhe dil ko jalayegi ...duniya main to agar insan jalta hai to skin muscles jalti hain aur vo mar jata hai lekin hell main to maut aayegi nahi to aag dil tak pahunch jayegi aur dil jalayegi...
Dil ki baat kyon ki ja rahi hai kyonki dil aur zabaan ka talluq hota hai jo dil main hota hai vo hi zabaan par aata hai.jab dil main galat khyalaat aate hain tabhi zaban se nikal te hain isliye saza bhi dil ko milegi phir pora jism jalega ...
Isiliye kaha gaya jab raat ko soyeen to dil saaf karke soyeen kabhi kisi ke liye dil main bura guman na kareen.
SURAH HUMAZAH
ayah 1 to 9
halakat hai har aib lagane vale taunt karne vale ...yahan humaza lumaza words aaye hain usme vo sab aa jata hai jo humne oper discuss kiya.
Aur halakat hai har maal jama karne vale aur gin gin kar rakhne vale ke liye.kya vo samjhta hai ki uska maal use hamesha baqi rakhega...hargiz nahi vo zarur hutama main phaika jayega jo use crush kar degi...aur tum nahi samjh sakte ki hutama kya hai ...vo Allah ki bhadhkaye hui aag hai...jo dilo ko jalayegi...vo unpar charoon taraf se band kar di jayegi....lambe lambe pillars main ..
Isi liye apni zaban par har vaqt Allah ka zikr karte rahain SubhanALLAH ... Alhamdullillah ....Allahu akbar. ..Lailahaillallah..padhte rahe koi agar burai shuru bhi karee to use vahi rok deen. Aur khud ko aur sab ko HUTAMA se bachayeen.

0 Comments