Hidaya in Urdu Hindi

7:49 AM

HIDAYA

Aaj hum ak game imagine karte hain ak rasta hai bahot lamba seedha jispar agar hum seedhe chalenge to apne destination tak pahunch jayenge . hamare paas limited time hai aur hamain sirf us raste par chal na hi nahi hai points bhi collect karne agar hamare paas required points honge tabhi hum destination tak pahunchenge.ab ye rasta seedha to hai lekin isme bahot se hurdles hain jaise kabhi oper bhi chadhna hoga kabhi deep main bhi jana hoga barriers bhi cross karne honge is raste par chalne ke liye aapko ak book ki zarurat hogi jisme likha hoga ki in hurdles ko easy way main kaise cross kar sakte hain aur ye bhi likha hoga ki points kaise collect karne hain saath hi game ka ak rule ye bhi hai ki agar aap apne saath saath dosroon ki bhi game jeetne main help karenge to aapko extra point milenenge.
Ab is seedhe raste par har thodi deer main ak distraction hoga jo aapko age badhne se rokega aur aapka time bhi waste karega .agar hum usme ulajh gaye aur vapas apne raste par nahi pahunche to girte chale jayenge aur game over ho jayega.

I hope ye sabko samjh aa gaya hoga agar nahi to dobara padheen.aaj kal ye games itne zyada common ho chuke hain ki kuch samjhane ke liye vohi language use karni padhti hai.

To hum ye game kaise jeetenge.seedhe jayenge idher udher distractions main bilkul nahi padenge book se dekh dekh kar points collect karte jayenge.raste main zara bhi rukenge nahi kyonki agar ruke to time waste ho jayega aur agar required time aur points ke saath destination tak nahi pahunche to game haar jayenge.

Bas yehi hamari zindagi hai ye seedha rasta sirate mustaqeem hai (seedha rasta) jiski hum har namaz ki har rakat main surah fatiha main Allah se dua karte hain ki ae Allah hamain seedha rasta dikha .
Required time hamara life span hai jo sabka alag alag hai.hamain nahi pata hamare paas kitni zindagi hai . vaqt kam hai ak ak min stop clock ki tik tik ki tarah guzarta ja raha hai.
Raste ke hurdles zindagi main aane vali pareshaniyaan dukh takleefe hai.jinhe lekar hamain raste main beth nahi jana hai unhe paar karna hai aur age badhna hai. Unmain ulajh kar vahi beth nahi jana hai.ki ab hum age nahi badh sakte itni chot lag gaye is barrier se.

Kitaab jo use karni hai jisse points collect karne hain vo quran hai kyonki quran hamain jaldi jaldi zyada se zyada points collect karne main help karega aur jo zindagi ke hurdles hain unhe kaise jaldi se cross karna hai vo bhi batayega.

Agar hamare paas quran nahi hoga to hum raste ke hurdles main stuck ho jayenge age nahi badh payenge time bhi waste karenge aur productive bhi nahi honge.

Aur raste ke aaspaas jo distractions hai jo shaitaan ka jaal hai jo har thodi deer main aapko apni taraf kheechta hai ki aa jao kyon itne mushkil raste par chal rahe ho thoda araam kar lo rasta tumhare samne hai phir palat jana .aur jaise hi insan uski batoon main aakar mudta hai vo usko itna uljha deta hai ki vapas palatna mushkil ho jata hai aur behka kar use seedhe aag main phaikta jata hai.shaitaan ne Allah se vada kiya tha ki main tere seedhe raste par bethunga tere bando ko behkaonga .Allah Tallah ne quran main baar baar kaha hai shaitaan tumhara dushman hai use dushman samjho vo aur uske saathi tumhe aesi jagah se dekhte hain jahan se tum unhe nahi dekh sakte.to aese dushman se muqabla hai hamara jo dikhaye nahi deta.uska muqabla hum sirf Allah ki kitab quran se hi kar sakte hain.

Agar hamain ye zindagi ka game jeetna hai to quran ko padhna hoga har din har vaqt ke liye use apna friend banana hoga jo hamain sahi rasta dikhata rahe .phir shaitaan ke distractions ko samjhna hoga .usse bachna hoga .phir apna time bhi barbaad nahi karna hoga kyonki time bhi limited hai.aur akele bhi is raste par nahi chalna hai sabko saath main bhi lekar chalna hoga unko bhi distractions se bachana hai.

Aur zindagi ke hurdles ko mamuli part of game samjhna hoga.ki problems to ayengi hi.
Ak ak gham takleef par rona dhona karke vahi ruk nahi jana hai age badhte rahna hai.

Ab hum dekheen ki hamari duayeen Allah se kya hoti hain.jab umre par jate hain to log aapse dua ka kahte hain usme kya kya hota hai.
Bachche paas ho jayeen promotion mil jaye ye problem solve ho jaye beti ki shadi ho jaye etc etc...dhayan deen ye sab us seedhe raste ke hurdles hain jinhe hamain paar karna hai.
Kya bas itni kam dua karenge hum...
Kya humain ye nahi mangna chahiye ki Allah hamain hamari destination yani jannat tak pahuncha dee .hamare kiye zindagi ke hurdles yani pareshaniyaan ko solve karne ka tariqa bata de aur zindagi ke sare distractions jo seedhe hamain jahannam main phaikenge usse hamain bacha le.

Ab dekhen quran shuru hote hi sabse pehla word jo Allah ne hamain diya hai vo kya hai??

ALHAMDULLILAH

Alhamdullillah hai ki chahe koi bhi problem aaye kaise bhi halat ho is word ko nahi chodhna hai .ki Allah tera shukr har cheez ke liye.
Phir Allah ne dua sikhaye hai jisme hum Allah se hidayat mangte hai hidayat vo roshni hai jo har kisi ko nahi milti ye bahot mehnat karne se Allah se baar baar mangne se milti hai. Ye vo gift hai jo Allah SWT apne selected bandoon ko dete hain jisko Allah Tallah apne bandoon main se chunte hain.

Jisko ye hidayat mil jati hai usko duniya ki sari reality samjh aane lagti hai .use vo tariqe mil jate hain jisse usko koi takleef takleef nahi lagti usko pata hota hai ki its a part of game use phir jaldi jaldi apne liye points ikaththa karna yani naikiyaan karna bhi aa jata hai .jise distractions bhi dikhne lagte hain.

Isliye sabse zaruri dua hidayat ki dua hai ki Allah hamain hidayat dede aur apna seedha rasta dikha de.
Yehi dua Allah ne hamain sikhaye hai .ye vo dua hai jo hum bina sooche samjhe namaz ki har rakat main magte bhi hain.

SURAH FATIHA

Bismillah

Sari tareefe aur shukar Allah ke liye jo rab hai palne vala hai aalameen ka yani pori duniya ki har cheez ka .jo rahmaan aur raheem hai yani raham karta hai aur hamari galtiyoon je bavjood bhi baar baar raham karta hai.
Hum sirf teri ibadat karte hain aur sirf tujhse hi madad mangte hain.hamain seedha rasta dikha de .un logon ka rasta jispar vo chale to unko inaam mila yani jannat mili aur unka rasta mat dikhana jispar vo chale to unko tera gazab yani narazgi mili jahannam mili aur unka rasta bhi mat dikhana jo bhatak gaye yani distractions main padh kar vo apna rasta hi bhool gaye.

Aameen.

Ye dua hai hidayat ki jo hum har vaqt Allah se mangte hain lekin gaflat ke saath bina sooche samjhe.Allah Tallah hum sab ko hidayat de apna seedha rasta sirate mustaqeem dikhaye aur hum sab ko jannat main dobara milvaye .
Aameen ya rabbul aalameen.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *