Taraweeh Ke Zaroori Masle

9:37 PM

Isha Ke Farz Wa Vitr Ke Baa'd Bhi Traweeh Padhi Jaa Sakti Hai (AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 494) Jaisa Ki Baa'z Awqat 29 Ko Ko Ruyate Hilaal Ki Shahaadat Milne Me Taakhir Ke Sabab Aisa Ho Jata Hai Bila Uzar Trawih Baith Kar Padhna Makruh Hai Balki Baa'z Fuqahae Kiram Ke Nazdik To Hoti Hi Nahi (AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 499) Na Baalig Imam Ke Pichhe Sirf Na Baaligaan Hi Trawih Padh Sakte Hai Baalig Ki Trawih (Balki Koi Bhi Namaz Htta Ki Nafal Bhi) Na Baalig Ke Pichhe Nahi Hoti Alag Alag Masjid Me Trawih Padh Sakta Hai Jab Ki Khatme Qur'aan Me Nuqsaan N Ho Maslan 3 Msajid Aisee Hai Ki In me Har Roz Sava Parah Pdha Jata Hai To Tino Me Rozana Baari Baari Jaa Sakta Hai Agar 27vi Ko(Ya Isse Pahle) Qur'aane Paak Khatm Ho Gaya Tab Bhi Aakhiri Ramzan Tak Tarawih Pdhte Rahe Ki Sunnate Muakkda Hai (AALMGIRI Jild 1 Page 118) Baa'z Muqtadi Baithe Rahte Hai Jab Imam Ruku Karne Wala Hota Hai Us Waqt Khade Hote Hai Yeh Munafiqin Ki Mushaabahat Hai Chunanche Qur'aane Paak Me Irshaad Hota Hai TARJAMA KANZUL IMAN- Aur(Munafiq) Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Jee Se (SURE NISA Aayat No 142) Ramzan Sharif Me Vitr Jma'at Se Pdhna Afzal Hai Magar Jisne Isha Ke Farz Bigair Jma'at Ke Pdhe Voh Vitr Bhi Tanha Padhe (BAHAARE SHARIAT Hissa 4 Page 36) Ek Imam Ke Pichhe Isha Ke Farz Dusre Imam Ke Pichhe Tarawih Aur Tisre Imam Ke Pichhe Vitr Padhe Isme Haraj Nahi Hazrate Syyiduna Umar Faruqe Aazam(Radiyyalahu Anhu) Farz Wa Vitr Ki Jma'at Karvate The Aur Hazrate Syyiduna Ubay Ibne Kaa'b (Radiyyalahu Anhu) Taraweeh Padhate (AALMGIRI Jild 1 Page 116) TRAWIH AUR SHABINA KA 1 ZARURI MAS-ALA: (Ise Zarur Padhiye INSHA ALLAH Galati Ki Islaah Hogi) Aayate Sajda Padhne Ya Sunne Se Sajda Wajib Ho Jata Hai Padhne Me Yeh Shart Hai Ki Itni Aawaz Me Ho Ki Agar Koi Uzar Na Ho To Khud Sun Sake, Sunne Wale Ke Liye Yeh Zaruri Nahi Ke Bila Qasad Suni Ho Bila Qasad Sunne Se Bhi Sajda Wajib Ho Jata Hai (AALMGIRI Jild 132) KHABARDAAR! HOSHIYAAR! Ramzanul Mubarak Me Trawih Ya Shabina Me Agarche Sharik Na Ho Beshk Apni Hi Alag Namaz Padh Rahe Ho Aayate Sajda Sun Lene Se Aap Par Bhi Sajdae Tilawat Wajib Ho Jaega Kafir Ya Na Balig Se Aayate Sajda Suni Tab Bhi Sajdae Tilawat Wajib Ho gaya Baalig Hone Ke Baa'd Jitni Baar Bhi Aayate Sajda Sun Kar Abhi Tak Sajda Na Kiya Ho Unka Galabae Zan Ke Etibaar Se Hisab Laga Kar Utni Baar Ba Wuzoo Sajdae Tilawat Kar Lijiye SAJDA-E-TILAWAT KA TARIQA: Khada Hokar ALLAHU AKBAR Kahta Huva Sajde Me Jaye Aur Kam Se Kam 3 Baar "SUBAHAANA RABBIYAL AALA" Kahe Fir "ALLAHU AKBAR Kahta Huva Khada Ho Jaye (AALMGIRI Jild 1 Page 135) Sajdae Tilawat Ke Liye ALLAHU AKBAR Kahte Waqt Na Haath Uthana Hai Na Isme Tashahhud Hai Na Salaam (TANVIRUL ABSAR M'A RADDUL MUHTAAR Jild 2 Page 580) Jo Sachche Dil aur Sahi Aqeeda ke sath RAMZAN me TARAVEEH Padhe to uske agle Gunah Bakhsh Diye Jate hai (Muslim) Mas'ala bila uzra tarawih baith kar padhna makruh hai balke baaz fiqaha e kiram ke nazdik to hoti hi nahi (Durre Mukhatar) MAS'ALA: Tarawih Ka Waqt Isha Ke Farz Padhne Ke Baad Se Subah Saadiq Tak Hai, Isha Ke Farz Ada Karne Se Pahle Agar Padhli To Na Hogi. (Alamgiri) HAZRAT ALI AUR SALMAN FARSI KE SHAGIRD HAZRAT ALI BIN RABIYA RAMZAN ME LOGO KO 20 RAKAT TARAWIH AUR 3 RAKAT WITR PADHATE THE (IBN-E-SHAIBA) SarkaR GAUS-E-AAZAM FARMATE HAI: NAMAZ-E-TARAWIH NABI-E-KAREEM KI SUNNAT HAI AUR 20 RAKA'ATE HAI (GUNYATUT TAALIBIN Jild 2 Safa 16) TARAWIH 20 RAKAT SUNNAT-E-MO'QEDA NAMAZE HAI JO RAMZAN ME PADHI JATI HAI ISHA KI FARZ NAMAZ KE BAAD, HAR RAAT ME (QANOON-E-SHARIAT) MAS'ALA: Jab 2-2 Rakat Karke Padh Raha He To Har 2 Rakat Par Alag Alag Niyyat Kare & Agar 20 Rakat Ki Ek Sath Niyyat Ki Tab Bhi Jaiz He. (Durre Mukhtar) SHAH WALIALLAH MUHADIS FARMATE HAI: TARAWIH KI TAADAD 20 HAI ISKI WAJAH YE HAI KE SAHABA NE NABI-E-KAREEM KO PADHTE DEKHA (HUJJATULBALIG) HAZRAT IMAAM GAZALI FARMATE HAI: TARAWIH 20 RAKAATE HAI JIN KA TARIQA MASH'HUR wa MA'RUF HAI AUR YE SUNNATE MAUQEDA HAI (AHYA-UL ULOOM)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *