Hazrat Zikarya ka Hazrat Maryam ka Kafeel (guardian) banna

8:47 PM


Hazrat Maryam ki mother Maryam ko kaproun me lapait kar Masjid Bait-ul-Muqaddas lay gaen aur logoun k hawalay kia jo wahan Allah ki ibadat aur Masjid ki khitdmat wagera k lye her waqt rehtay thay. aur ye bachi un k Imam (Imran) ki beti thi, lehaza us k lye sab jhagra krny lagay k main is ka kafeel banounga. her koi is koshish me tha k main akela is bachi ka brought up karoun. Hazrat Zikarya A.S us zamanay me Prophet bhi thy aur bachi k behnoi/ brother in law ya khalo bhi thay, tau is lye unki khuwahish o koshish thi k main iska haqdar banoun, magar log na manay. Tau at last, sab qura'a andazi/ draw per agree hogae aur qismat ne Zikarya A.S ka sath dya aur un ka naam nikal aya. aur kion k khala Maa ki trah hoti hai, is lye ye behtar hua. Magar log na manay. Mazeed 2 baar draw kia gya aur Allah k hukm se her baar Zikarya A.S ka naam hi aya. aur aap Allah k fazal se Maryam k kafeel/ Guardian hogae. Hazrat Zikarya ne Masjid ki aik achi jagah Maryam k lye bana di. jis me koi aur Maryam k siwa enter na ho skata tha. Maryam us me Khuda ki ibadat me masroof rehti aur baqi jab makan ki daikh bhaal ki zarurat parti tau usko thek karti, baqya waqt ibadat-e-Ilahi me masroof rehti. Hatta k logoun me aap ki kasrat-e-Ibadatfamous hogae. aur aap k umdah siffat-o-karamaat ka bhi logoun me charcha honay laga. Zikarya jab bhi Maryam k hujray me jatay tau wahan ajeeb o ghareeb meway aur dosray rizq patay. Sardioun k mausam me garmioun k fruits aur garmi me sardi k fruits. Tau aap puchtay, Ae Maryam ye kahan se aya? Tau Maryam jawab daiti: Allah ki taraf se, beshak Allah jisay chahay baghair hisab k Rizq daita hai... Tau aisay moqay per Zikarya k dil me apni aulad ki khuwahish ne janam lya, agarcha wo burhay aur za'aeef ho chukay tha. tau tab kaha; "Parwardigar, mujhay bhi apni traf se pakeezah aulad day. Beshak Aap dua qabool karny walay hain." (phir wo hi qissa paish aya, jiska zikr pehlay Zikarya k qissay me guzar chuka hai)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *