HAZRAT SYYEDINA NOOH ALAIHISSALAM

8:11 PM

Hakim mustadrak bayan karte hain ke, inka naam ABDUL GHAFFAR hai aur chunke ye apni zaat ke liye bakasrat roya karte the isi liye inka naam NOOH pad gaya. Aur Hakim ye bhi kehte hain ki aksar sahaba (rizwanullah alaihim ajmayeen) NOOH alaihissalam ke IDREES alaihissalam se pehle hone ko mante hain. NOOH Alaihis Salaam Bin LAMK ibne MATOOSHALAKH ibne AKHNOOKH.. Aur mash hoor qaul ke mutabiq AKHNOOKH hi IDREES alaihissalam hain . Aur Tibrani hazrat abi zar ( Rahmatullahi Allaih) se riwayat karte hain ke unho ne kaha. “mai ne rasool allah sallallahu alaihi wasallam se arz ki key a rasool allah (SAWS) sab se pehle nabi kon hain? Rasoolallah SAWS ne irshad farmaya ADAM Alaihis Salaam , mai ne kaha phir kaun? Irshad kiya hazrat NOOH Alaihis Salaam ,aur Hazrat ADAM aur NOOH ke darmayan 20 sadiyan (20 centuries) hain” yani 2 hazar saal ka arsa. aur mustadrak me ibn e abbas raziallahu anhu se marwi hai, unho ne kaha “ADAM aur NOOH ke darmayan 10 sadiyo (10 centuries) ka fasla tha.” Mustadrak hi me ibn e abbas Rahmatullahi Allaih se marfooan marwi hai ke “khuda ta’ala ne NOOH Alaihis Salaam ko 40 saal ki umr me risalat ke saath maboos farmaya, pas wo 950 saal zinda rehker apni qaum ko khuda ki taraf bulate rahe…aur toofaan ke baad 60 saal zinda rahe, yahan tak ke inke samne hi admiyo ki kasrat hogai aur wo dunya me khoob phail gaye.”Quraan me bhi aap ki umr 950 saal batai gai hai. (nooh Alaihis Salaam ko adam e saani bhi kaha jata hai, aur nooh alaihissalam sabse pehle rasool the

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *