5 Namazoun ka farz hona: (Waqiya-e-Meraj)

3:17 PM

Riwayat hai k Hazrat Muhammad SAWW Meraj wali raat 6th aasman me Musa A.S k pass se guzray tau Jibra'ael A.S ne aap ko farmaya, ye Musa hain, Tau Hazoor Pak SAWW ne un ko salam kia. Jab Hazoor Pak un k paas se guzar gae tau Musa ro paray. Un se pucha gya k kis cheez ne aap ko rula dya? Farmaya k "Main rota houn k ye larka (Hazoor Pak) mere baad bheja gya. aur is ki ummat meri ummat se zyada jannat me dakhil hogi.." Aur Hazrat Ibrahim A.S se mulaqat ka zikr 7th aasman me hai. aur yhi sahi aur mehfooz hai. Ibrahim A.S 'Bait-ul-Mamur'se taik laga k bethay thay. Jis per roz 70,000 angels tawaf ki gharz se enter hotay hain aur phir qayamat tak un ki bari nahi ayegi. (Bait-ul-Mamur ko hum pehlay discuss kar chukay hain). Tamam riwayaat agreed hain k Allah Pak ne Ummat-e-Muhammad per din raat me 50 namaz farz farmai theen. Tau Muhammad SAWW phir Musa k pass se guzray tau Musa ne farmaya: "Wapis jayen aur apni ummat k lye 'takh'feef' (reduction) ka sawal kijye. because main apni ummat ko azmaa chuka houn. aur aap ki ummat tau kanoun, aankhoun aur diloun (ears, eyes and hearts) k aitabar se bht kamzor hai..." Tau Hazoor Pak SAWW. Musa aur Allah Ta'ala k darmiyan bar bar atay jatay rahay, aur har martabah namaz me takh'feef (reduction) hoti rahi. Hatta k, din raat me 5 namazoun tak baat hogae, aur Allah Ta'ala ne farmaya.. "Ye hain tau 5, laiken sawab 50 hi ka milay ga.." Pus Allah Ta'ala hamari traf se Nabi Paak SAWW ko bhi jaza-e-khair ata'a farmaye aur hamari traf se Hazrat Musa A.S ko bhi jaza-e-khair ata'a farmaye.. (Ameen)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *