Quba-Ulzaman ki Ta'ameer ka zikr: (Taboot-e-Sakina)

7:40 PM

Allah Ta'ala ne Musa A.S ko aik Quba bananay ka hukm farmaya. Jo "Sham'shaz" naam ki lakri/wood, cattle/ maweshi ki skins aur sheep and goats k baloun se bana ho. aur us ki sajawat/decoration silk, gold and silver k sath ho. aur us k 10 khemay/tents houn. Un per parday/curtains dyed silk k houn. Phir aik Taboot/ chest banaya jae, wo bhi Shamshaz wood ka ho, uska area 2.5 hath long, 2 hath broad and height 1.5 hath ho. us taboot k andar aur bahar pur gold coating ho. 4 corners me 4 kunday houn. aur both sides pe aik aik farishtay/angel ka mujasma/statue ho aur even un k Parr/wings houn aur wo amnay samnay houn. Is k bananay walay ka naam "Salyaal" tha. Aur aik "Dastarkhwan" bananay ka bhi hukm mila, same wood se, jis ko gold dye kia gya ho. Dastarkhwan per paltes, bowls aur spoon gold k houn. Is ko bhi Salyaal ne banaya. Aur ye Quba saal k first day lagaya gya tha. aur ye "Rabi" ka pehla din tha. Is Taboot/chest ki shahadat/proof Quran Pak se bhi mili hai (Wallah'alam) Allah ka farmaan hai: "Us ki saltanat ki alamat ye hogi k tumharay paas Taboot ayega, jis me tumharay Parwardigar ki traf se Sakina aur Aal-e-Musa aur Aal-e-Haroon ka baqya matrooka (means un ki nishani'yaan houn gi) aur us ko Malaika/Angels uthaye houngay. Beshak, is me nishani hai tumharay lye agar tum eman lanay walay ho..." (Al-Baqra'a, 248) 2:248 Sahih International And their prophet said to them, "Indeed, a sign of his kingship is that the chest will come to you in which is assurance from your Lord and a remnant of what the family of Moses and the family of Aaron had left, carried by the angels. Indeed in that is a sign for you, if you are believers."

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *