Quba ki Importance
8:33 PM
Aur Quba-Ulzaman un k lye Ka'aba ki trah tha. Uski direction me namaz wagera ki jati thi. Aur jab Musa A.S us me enter hotay tau log us k aas paas kharay ho jatay. Aur us k doors per clouds k pillars se chaa jatay. ye clouds Noor k hotay. Aur Allah Ta'ala Musa se conversation kartay.
Musa Taboot k pass dono Angel statues k center me kharay hotay, isi jagah un per Allah ki traf se Wahi bhi aati thi.
Bani Isra'ael k ksi jhagray k faislay k lye bhi Musa in statues k center me kharay hotay, jahan us se related Musa pe Wahi aati.
Aur ye cheezain un k religion me ja'aiz theen. Means gold, silver, silk, diamonds, pearls wagera wo apnay worship places me saja saktay thay. But hamari shariyat me ye ja'aiz nahi.
"Bulkay, humay masjid ki zyada sajawat/decorations se mana kia gya hai. Ta k namazi un me mash'ghool/busy na hojain..."
Jab Musa A.S ko 'Bait-ul-Muqaddas' per ghalba mila, means unho ne usko conquer kia, tau aap ne ye Quba-ulzaman us ki chatan/rock pe nasb/fix karwa dia. Phir us ki direction me namaz ada'a ki janay lagi.
Hazoor Pak SAWW ne bhi hijrat/migration se pehlay us ki traf rukh kar k namaz ada farmai. Aur normally Ka'aba apnay samnay rakhtay thay.
Jab hijrat ka hukm hua tau phir again Bait-ul-Muqaddas ki traf rukh karny ka hukm mila.
Phir 16 or 17 months us ki traf rukh farmaya, phir Qibla Ka'aba Ibrahim ki traf muntaqil/shift hua
0 Comments