Qaroon aur uska khazana
8:16 PM
Qaroon Musa A.S ki qaum me se tha.
Usko "Munawwar" kaha jata tha, because us ki Tauret ki talawat/reciting me awaz bht haseen thi. But tha wo Allah ka dushman aur munafiq. Jaisay k "Saamri" tha.
Phir Allah ne usko, us k maal/wealth samet halak farma dya.
Riwayat hai k Qaroon apnay libas ko aik balisht zyada lamba rakhta tha, (apni qaum pe bara'ai jatatay hue)
Aur Allah Ta'ala ne us k khazanoun/ wealth ki kasrat biyan farmai hai, hatta k us k khazanoun ki keys bhi aik bari jamat (big group of people) na utha sakti thi. aur group bhi strong logoun ka.
Aik qaul hai k wo keys leather ki theen aur 60 khachar / mules unko uthatay thay. ...Wallah'alam
Ba'az logoun ka khayal hai k wo "chemistry" ka art janta tha.
Ba'az k mutabiq, wo "Ism-e-Azam" janta tha. Jiski wajah se us ne maal o daulat jama karlya tha. But ye dono batain hi ghalat hain.
Uski qaum k wise people ne usko nasihat farmai k "akar mat" means jo kuch Allah ne tujhay ata'a farmaya hai, us per bara'ai karna ja'aiz nahi, because:
"Beshak, Allah akarnay waloun (Rude) ko pasand nahi karta.."
Tau Qaroon ka jawab bus ye hota tha k mujhay tau mere Ilm ki wajha se ye maal o daulat ata'a kia gya hai. Ye mera right tha. Agar mera Allah k haan martaba na hota aur main Uska habib na hota tau mujhay itna maal na ata'a karta.
Qaroon apni intahai shaan o shaukat aur banawat o singhar k sath nikalta tha, aur sath me isi trah umdah sawariyan aur servants bhi hotay thay.
Dunya k lalchi usko daikh kar hasrat o tamanna kartay thay.
0 Comments