Namrud ka khudai ka dawa'a

8:40 PM

During the conversation, Ibrahim A.S ne Namrud ko Allah Wahdaho La-shreek ki ibadat ki traf bulaya tau jahalat o gumrahi aur badshahat ki kham khayalioun ny Namrud ko Allah Ta'ala ki Zaat per inkar per khara kar dya. Aur sarkashi me yahan tak phuncha k Khuda'ai ka dawa'a kar betha. (Astaghfirullah) Phir Hazrat Ibrahim ne Allah Ta'ala per daleel paish karty hue farmaya k "mera Parwardigar tu wo hai jo zinda karta hai aur marta hai.." Tau Namrud ne kaha k main bhi zinda karta houn, aur marta houn... (Ai-Baqrah 258) Namrud ne apnay daway ko durast sabit karnay k lye jawab amli taur pe youn dya k 2 aisay shakhs (men) ko mangwaya, jin k baray me hatmi faisla ho chuka tha (final decision), un me se aik ko qatal karwa dya, aur aik ko maaf kar dya, aur ye samjh lya k usny aik ko zinda kar dya, aur aik ko maar dya. jab k ye sirf bewakofi ka jawab tha. Hazrat Ibrahim ne Allah Ta'ala per dosri daleel paish karty hue farmaya k "beshak Allah he mashriq (east) se soraj ko nikalta hai. Pus agar tu (Namrud) khuda hai tau soraj ko maghrib (West) se lay aa". Tau Allah k dost ki traf se ye dandan shikan (la-jawab) sawal sunn kar wo zaleel badshah hairan aur khamosh hogya aur (dil hi dil me) sharmindah hua, magar kufar ko na chora. Ibrahim A.S ne mazeed kaha k Allah hi wo Zaat hai jis k siwa koi ma'aboud nahi aur Wo her cheez ka khaliq hai. Because jo zindage aur maut jaisi azeem qudrat apnay hath me rakhta hai, wo tau jo chahay kar skta hai, Us k lye koi rukawat nahi.. Ibrahim ny Namrud se kaha k, pus agar tu apny kham khayal me sacha hai, tau tu ye kar dikha, agar tu ye na kar ska tau tera weham o khayal jhoota hai. Aur tujh sameet har koi jan laiga k tu ksi bhi cheez pe qadir nahi hai. Bulkay tu tau is sy bhi aajiz aur kamtar hai k aik machar (mosquito) ko paida kar sakay, (ye tau dour ki baat hai) bulkay tu tau aik machar se apna inteqm bhi nahi lay skta.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *