Musa aur Khizr ka safar

7:13 AM

Musa ki Khizr k sath chalnay ki request pe dono sath chal paray. Samandar k sahil pe chal rahy thay k ek kashti/ boat guzri, unho ne kashti waloun se sawal kia k humay bhi sawar karlo. Unho ne Khizr ko pehchan kar baghair karaya/ fare k dono ko sawar kara lya. Kashti me sawar hotay hi Khizr ne kashti k takhtoun me se aik takhta (wooden panel) torr dala, tau Musa A.S ne kaha, “Aik tau is qaum ne hum ko baghair karaya k sawar kia, phir aap ne usko torr dia. Kia isi lye (ta k aap is k ahl ko gharq kardain) aap ne (na-pasandeedah) kaam kia hai..” Khizr ne kaha, main ne aap ko na kaha tha k aap mere sath sabr na rakh skaingay.. (ye first time Musa se bhool hue thi) Phir ek chirya aye aur boat k kinaray beth kar samndar me choonch mari tau Khizr ne kaha, Allah k Ilm k muqablay me, mere aur aap k Ilm ki missal chirya hai jis ne apni choonch k sath samndar se pani lya hai. (Allah ka Ilm samndar ki trah hai aur mera aur apka Ilm choonch k pani ki trah hai) Phir dono kashti se utar kar chalay, yahan tak k rastay me aik larka mila tau Khizr ne usko maar dala. Musa ny kaha k aap ne aik be-gunah ko maar dala, ye tau aap ne buri baat ki. (Khizr A.S ne kaha k main ne kaha tha na k tum se mere sath sabr na ho skay gay) Musa A.S ne kaha k phir koi baat puchoun (aitraz karoun) tau apnay sath na rakhyega. Phir dono agay chalay, yahan tak k aik basti waloun k paas phunchay aur un se khana manga. Un logoun ne khana dainay se inkaar kardya. Phir Musa aur Khizr ne wahan aik dewaar/ wall ko daikha jo girnay wali thi. Khizr ne usko seedha kardya. Tau Musa phir se bol paray k in logoun se tau ujrat laikar kaam karna chaye tha jinho ne humay khana na khilaya tha. Khizr ne Musa A.S se kaha, ab main main tumhay sath nahi rakhounga, magar jin batoun me tum sabr na kar skay, main unka bhaid/mystery tum ko bata daita houn. 1- Wo jo kashti thi, wo ghareeb logoun kit hi jo darya me mehnat kar k guzara karty thay. Aur un k samnay aik badshah tha jo har aik kashti ko zabardasti cheen laita tha. Tau mene chaha k us kashti ko aeb-daar kardoun, ta k wo usay cheen na skay. 2- Jis larkay ko mene qatal kia, us k maa bap dono momin thay. Humay khatra hua k wo bara ho kar bad-kirdar hoga. Kahin walidain (parents) ko bhi kufr me na phansa day, tau hum ne chaha k un ka Rab us ki jagah un ko aur bacha ata farmaye jo paak neyati me behtar ho. 3- Aur jo dewaar thi, wo yateem (orphan) larkoun ki thi jo shehar/city me rehtay thay. Aur us dewaar k nechay unka khazana/treasure dafan tha aur unka baap naik admit ha. Tau tumharay Parwardigar ny chaha k wo apni jawani ko phunch jaen aur phir apna khazana nikalain. Ye tumharay Parwardigar ki meherbani hai. Ye un batoun ki haqeqat hai jin per tum sabr na kar sakay.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *