Musa A.S ki Qaroon ko bad'dua
8:33 PM
Riwayat hai k Qaroon jab shaan-o-shaukatk sath nikla tau jaan bojh kar Musa ki majlis per guzra. Musa logoun ko Allah k "ayyam" (Days) bata rahay thay.
Jab logoun ne Qaroon ko daikha tau bht se logoun k faces Musa se hat kar uski traf murr gae. Tau Musa ne usko bulaya aur pucha,
"Qaroon, tujhay is qadar (bharak kar) chalnay per kis ne majboor kia? "
Tau Qaroon ne kaha; " Ae Musa, agar aap ko nabuwat k sath fazilat di gae tau mujhay tujh per maal k sath fazilat di gae. Agar tu chahay tau nikal aur mere khilaf bad'dua kar. Aur main tere khilaf bad'dua karta houn..."
Qaroon ne bad'dua ki, magar qabool na hue.
Musa ne Dua ki k Ae Allah zameen ko hukm farmaye k wo meri ata'at /obey karay, tau Allah ne Wahi farmai,
"MAIN ne kar dya.."
Tau Musa ne farmaya: "Ae zameen in ko pakar lay"
Tab zameen ne unko qadmoun/ feet tak nigal lya.
Phir farmaya: Nigal lay...phir guthnoun/ knees tak nigal lya.
Phir shoulders tak nigal lya.
Phir farmaya: In k khazanoun/ wealth aur maal ko bhi lay le.
Phir zameen ne un k maal o daulat ko nigalna start krdya. aur ye bhi daikh rahay thay.
Phir Hazrat Musa A.S ne ishara farmaya k Ae zameen 'Bani Lawi' (means Qaroon aur us k sath waloun ko) lay ja...
Tau zameen un k sath barabar hogae.
Kaha gya hai k wo her roz aik qad-Adam k jitna (human body) dhansaye jaty hain (bury) ... aur qayamat tak yhi hota rahega. (Astaghfirullah....)
0 Comments