hazrat nooh alaihissalam ke kashti

7:08 PM

part:-2 Hazrat Nooh (Alaihay Salam) Pure Jee-Jaan Se Aur An-Thak Tarike Se Apni Qaum Ko Deen Ki Daawat Dete Rahe. Jab Qoum Ke Kuch Hi Logo Ne Imaan Laya, Aur Baqi Hatdharam, Ziddi, Aur Nooh (Alaihay Salam) Ko Takleef Dene Wale Aur Unka Mazaaq Udaane Wale Rah Gaye Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Duwaa Ki, “Aye Mere Rab Inn Logo Ne Mujhe Jhutlaa Diya Hai, Ab Tu Hi Meri Madad Farma”. Tab Allah Ta’ala Ne Nooh (Alaihay Salam) Ki Taraf Wahee Ki, “Hamari Nigraani Aur Hidaayat Ke Mutaabiq Kashti (Naav) Banaavo ! Fir Jab Hamaara Huqm Aa Jaaye Aur Tanoor Ubalne Lage Toh Har Kisam Ke Jaanwar Aur Parindo Ke Jode Se Do (Nar Aur Maada) Iss Me Baitha Lena Aur Apne Gharwalo Ko Bhi (Imaan Walo Ko). Aur Jin Logo Ne Zulm Kiya (Kaafir) In Ke Baare Me Mujh Se Koi Sawaal Mat Karna, Kyonki Woh Sab Paani Me Garq Kar Diye Jaayege. Aur Fir Tum Aur Jo Tumhaare Hamraah Ho Kashti (Naav) Me Achchi Tarha Baith Jaaye Toh Kehna “Sab Ta’areef Allah Ta’ala Ke Liye Hai, Jis Ne Hame Zaalimo Se Nizaat Di” Aur Ye Bhi Kehena “Mere Rab Hame Barqat Wali Jagaah Par Utaarna, Aur Tu Sab Se Behtar Utaarne Wala Hai”. Aur Fir Jab Nooh (Alaihay Salam) Ne Sab Ko Kashti Par Sawar Kar Liya Toh Zameen Se Paani Ubalna Shuru Ho Gaya Aur Tez Muslaadhar Baarish Hone Lagi. Chaaro Taraf Paani Hi Paani Ho Gaya. Kaafir Apni Jaan Bachane Ke Liye Unchi Jagaho Par Jaane Lage. Ab Nooh (Alaihay Salam) Ki Kashti (Naav) Paani Me Upar Uthne Lagi. Nooh (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Unka Kaafir Beta Pahaadi Par Ja Rahaa Hai Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Use Aawaaz Di, “Beta Jaldi Se Naav Me Sawaar Ho Jaa”. Uss Ne Jawwab Diya, “Mai Pahaadi Par Ja Rahaa Hoon Wahaa Mai Bach Jawooga”. Nooh (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aaj Koi Nahi Bachne Wala”. Aur Unke Dekhte Hi Dekhte Ek Unchi Lahar Uthi Aur Unke Bete Ko Bahaa Le Gayee. Nooh (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Mere Rab Mera Beta Mere Apno Me Se Hai”. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Tumhe Jis Baat Ka Ilm Nahi Uske Baare Me Sawaal Mat Karo, Wo Kaafiro Me Se Tha Tumhaare Apno Me Se Nahi, Tumhaare Apne Wo Hai Jo Imaan Laaye”. Kayee Dino Tak Muslaadhar Baarish Hoti Rahi Aur Zameen Se Bhi Paani Nikalta Rahaa. Jahaa Tak Bhi Nazar Jaati Thi Har Taraf Paani Hi Paani Tha. Sabhi Kaafir Aur Unke Boot Aur Jo Kuch Bhi Zameen Par Tha Sab Paani Me Garq Ho Gaye. Fir Allah Ta’ala Ne Aasmaan Ko Huqm Diya Ki Paani Barsaana Rok De, Aur Zameen Ko Bhi Huqm Diya Ki Apna Paani Nigal Ja. Kashti Kayee Dino Tak Paani Me Tairti Rahi. Kashti Me Chuhe (Mouse) Ho Gaye Jo Anaaj Ke Galle Ko Nuqsaan Pahuchaane Lage. Nooh (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, Allah Ta’ala Ne Kahaa Sher (Lion) Ki Pust Par Haath Maaro. Nooh (Alaihay Salam) Ne Sher Ki Pust Pe Haath Maara Toh Billi (Cat) Paida Huyee Aur Usne Saare Chuho Ko Khaa Liya. Isi Tarha Kashti (Naav) Me Gandagi Paida Hone Lagi Toh Nooh (Alaihay Salam) Ne Fir Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Haathi (Elephant) Ki Pust Par Haath Maaro”. Nooh (Alaihay Salam) Ne Haathi Ki Pust Par Haath Maara Toh Badjaanwar (Pig) Paida Huwaa Aur Usne Saari Gandagi Saaf Kar Di

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *