Hazrat Musa ka zaban pe angarah rakhna
3:36 AMActually hua ye tha k, aap ne bachpan me Fir'oun ki darhi (beard) pakri thi, tau Fir'oun ghussay me aap k qatal per tull gya tha. Tab Aasiyah ne kaha, ye tau bacha hai. Is ne jaan kar aisa nahi kia (is ko tau kuch sha'aoor nahi hai).
Beshak aap is k samnay khajoor (date) aur angarah rakh kar azmaa lain.
Tau Fir'oun ne Musa ki aqal ka andazah karny k lye ye kia.
(Musa thay tau aqalmand) lehaza khajoor ki traf hath barhanay lagay, tau Farishtay ne apka hath angaray ki traf phair dya. Angaray ko Musa ne zaban per rakh liya.
Jis ki wajah se apko zaban me halka-pan hogya.
Tau Khuda se hum-kalami k waqt aap ne is k is hadh tak dour honay ki dua ki k log baat samajh sakain. aur bilkul khatam honay ki dua na farma'ai.
(Rasool sirf isi qadar sawal karty hain k un ki hajat puri ho jae aur bus..)
Isi wajah se Musa ki zaban me phir kuch "Luknat" baqi reh gae thi.. aur isi wajah se Fir'oun ne (Allah uska bura karay) Hazrat Musa per aeb lagaya tha, kaha tha k aur wo biyan karny ki taqat nahi rakhta, tau ye kaisay Rasool hoga...
Tau isi wajah se Musa A.S ne Allah Ta'ala se kalaam k duraan apnay bhai "Haroon" ko Rasool bana kar un k sath bhejnay ki safarish ki, jo k foran qabool hogae.
0 Comments