QAYAMAT KA SHAK KARNA

12:33 AM

QAYAMAT KA SHAK

➖➖➖➖➖➖➖➖
Hum qayamat ki tayyari kyon nahi karte kyonki humko uske aane main shak hai jis cheez ke bare main bhi insan shak main ho to uske ander ak irresponsible attitude aa jata hai jaise aap ko agar pata ho ki sham ko mehmaan ayenge ya nahi to aap uski tayyari nahi karenge lekin agar aapko pata ho ki nahi sham ko zarur mehmaan ayenge to aap pori tayyari ke saath unka intezaar karenge. 
Hamain bhi qayamat ke bare main shak hai ki pata nahi ayegi ya nahi hum soochte hai bas ye duniya ki hi zindagi zindagi bas isi ko achche se jee lo marne ke baad jo hoga dekha jayega lekin ye attitude kitna khatarnaak hai hum nahi jante dekhe allah tallah is attitude ke bare main kya kahte hain.
Ayat 34 -50 surah dukhkhan para 25th
Ye log kya kah rahe hain ki bas hum ak hi baar marenge dobara na zinda honge yani allah ke samne pesh nahi honge agar sachche ho to hamare buzurgo ko zinda kar ke batao aap saw sw kah rahe hain allah tallah farmate hai humne badi badi qaume jo duniya main khud ko bahot bada samjhti thi unko khtam kar diya
Allah tallah farmate hai humne zameen aur asman aur inke beech main jo kuch bhi hai ise khel tamashe ke toor par nahi banayain sab ko ak maqsad ke tahat banaya hai lekin log nahi jante yani allah tallah ki banaye hui koi bhi cheez be maqsad nahi hai.
Beshak faisle ka din yani qayamat ka din sab ke liye decided hai.
Jis din koi dost kisi ko kaam na ayega aur kisi ki koi madad bhi na kar sakega magar jis par allah raham farmaye yaqeen vohi bada zabardast aur reham farmane vala hai.
Ab jo qayamat ko bhule rahe aur duniya main lage rahe unki saza bataye ja rahi hai
Ki Jahannum main mujrimo ka khana zakhkhoom hoga ye aesa badbu daar phal hai ki agar ak phal duniya main gir jaye to pori duniya uski smell se barbaad ho jaye vo inko khane ko diya jayega aur peene ke liye aesa pani hoga jo pighle hue tambe ki tarah hoga jo pet main jakar ubalne lagega jaise garam pani ubalta hai allah tallah kahenge ise pakdo ghaseeto aur Jahannum ke beech jhonk do phir iske sar par azaab ka garam kholta hua pani dalo tum duniya main khud ko bahot izzat vale samjhte the ab azab ka maza chakho beshak ye vohi azaab hai jiske bare main tum shak karte the.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *