Zakat Kisko Di Jaye Aur Kisko Nahi
9:46 PM
Hadees:
Huzoor E Aqdas صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya.
Sadqah Admiyon Ka Mayel (Gandagi) Hai aur Ye Meri Ahle Bait (Huzoor Ke Ghar Wale) Ke Liye Jayez Nahi
الطبقات الكبرى، لابن سعد، جلد-1، صفحہ-29.
Bani Hashim Ko Jayez Nahi,
Bani Hashim Me Ye Log Hain
Awlade Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Aqeel رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ
Hadees:
Hamare Liye Sadqah Halal Nahi Aur Jis Qaum Ka Azad Kiya Hua Gulam Ho Wo unhi Me Se Hai (Bani Hashim ke Gulamo Ko Bhi Sadqah Zakat Dena Jayez Nahi)
جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ماجاء في كراهية الصدقة للنبي الكريم صلى الله تعالى عليه وسلم، وأهل بيته ومواليه، جلد-2، صفحہ-142، الرقم الحديث-657
Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai,
Ki Imame Hasan رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Sadqe Ka Khurma Muh Me Rakha Ispe Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Kakh Kakh )chi chi( Use Phenk Do.
Phir Farmaya Kya Tume Maloom Nahi Ki Hum Sadqah Nahi Khate?
صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب ما يذكر في الصدقة للنبي صلى الله عليه وسلم وآله، جلد-1، صفحہ-503، الرقم الحديث-1491..
Zakat Inhe Di Jaye:
Zakat Ke Masarif 7 Hai
1. Faqeer
2. Misqeen
3. Aamil
4. Raqaab
5. Gaarim
6. Fee Sabi'Lillah
7. Ibnus Sabeel
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
FAQEER:
Faqeer Use Kahenge Jiske Pas Kuch Ho Magar itna Na Ho Ki Khud Zakat Dene Ke Layeq Ho,
Ya Nisab Ke Barabar Ho Magar Wo chize Uski Hajate Asliya Me Ho Yani Uski Apni Zaruraton Ke liye.
(Raddul Mohtar, Volume-3, Page-333
Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Mas'ala:
Faqeer Agar Alime Deen Ho To use Zakat O Sadqat Dena Jahil Ko Dena Se Afzal Hai
(Alamgeeri, Volume-1, page-187)
Magar Aalime Deen Ko Dete Waqt uske Martabe Ka Lihaz Zaroori Hai,
Is Adab Ke Sath Pesh Kare Jaise Chota Apne Bade Ko Nazr Pesh Karta Hai,
Agar Dil Me Alim ki Hiqarat Aai To Ye Hilakat (Barbadi) Aur Sakht Barbadi Hai.
Miskeen:
Miskeen Wo Hai Jiske Pas kuch Na ho Yahan Tak Ki Khane Aur Badan Chupane Tak Ke Liye Mohtaj Ho, Aisa Sakhs Logo Se Sawal Kar Sakta Hai, Magar Faqeer Ko Sawal Karna Jayez Nahi, Q ki uske Pas To Hajat Bhar Saman Hai
{الفتاوى الهندية، کتاب الزکاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ 187}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Mas'ala:
Miskeen Ko Sawal Halaal Hai Aur Faqeer Ko Sawal Najaiz Hai. Isliye Ke Uske Pas Khane Pine Aur Badan Chupane Ko Ho.
Use Bagair Jarurat Wa Majboori Sawal Karna Haraam Hai
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Gaarim:
Madyun Yani Qarazdar Jispe Qarza ho Use Bhi Zakat Dee Jaa Sakti Hai,
Magar Uspe Itna Qarza Ho Ki Agar Wo Khud Zakat Dega To uska Maal Nisab Ke Barabar Nahi Rahega..
Agarche Uska Bhi Auron Pe Baqi Ho Magar Use Wasool Hone Ki ummid Na Ho Ya wo Apne Qarazdaro Se Lene Par Qadir Na Ho.
Magar Qarazdar Hashmi Na Ho
{الدرالمختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}
FEE SABI'LILLAH:
Yani Allah Ki Raah Me Kharch Karna Uski Chand Surten Hai,
1. Masalan Koi Shakhs Jihad Me Jana Chahta Hai Magar Safar Kharch Pas Nahi Na Sawari Hai To use Zakat Dee Sakte Hai Agarche Wah Kama Sakta Ho.
2. Agar Koi Haj Ko Jana Chahta Hai To Use De Sakte Hain, Magar Use Khud Sawal Karna Jayez Nahi
3. Ya Talibe ILM Jo Ki Deen Ki Taleem Lena Chahta Hai,
Use Zakat De Sakte Hain Aur Aisa Talibe ILM Apne Liye Sawal Bhi Kar Sakta Hai.
Yun Hi Har Nek Baat Me Zakat Laga Sakte Hain Magar usme TAMLEEK (Malik Banana) Shart hai. Bagair Malik Banaye Zakat Ada Nahi Hogi
{الدر المختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)
IBNUS SABEEL:
Yani Musafir Jiske Pas Maal Na Raha Zakat Le Sakta Hai,
Agarche Uske Ghar Maal Maujood Ho Magar Usi Qadr Le Jisse Hajat Puri Ho, Ziyadah Ki ijazat Nahi.
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)
AAMIL:
Aamil Wah Hai Jise Badshah-E-Islam Ne Zakat Wa Ushr Wasool Karne Ke Liye Mukarrar Kiya Ho.
Use Kam Ke Lihaj Se Itna Diya Jaye Ki Usko Aur Uske Madadgaro Ko Mutawassit Taur Par Kafi Ho Magar Itna Na Diya Jaye Ki Jo Wasool Kar Laya Hai Uske Aadhe Se Jyada Ho Jaye.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
RAQAAB:
Raqaab Se Murad Maqatib Gulaam Ko Dena Ki Is Maale Zakat Se Badle Kitabat Dekar Apni Gardan Chudaye.
(Matlab Gulam Ke Aaqa Ne Kaha Ho Ki Itni Raqam La Kar Dedo To Tum Azaad Ho. Ye Is Daur Me Nahi Hai)
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Bahu Aur Damaad Aur Sauteli Maa Ya Sautele Baap Ya Shohar Ki Aulaad Jo Uske Pet Se Nahi To In Sabko Aurat Zakat De Sakti Hai.
Yuhi Shohar Apni Biwi Ki Aulaad Ko Jo Iske Nutfe Se Nahi Zakat De Sakta Hai.
(Raddul Mohtar)
Apni Asl Yani
•Maa
•Baap
•Dada
•Dadi
•Nana
•Nani
Wagairah Jinki Aulad Me Yah Hai.
Aur Apni Aulad Yani
•Baiaa
•Bay'i
•Pota
•Poti
•Nawasa
•Nawasi
Wagairah Ko Zakat Nahi De Sakta.
Yuhi Sadqa-E-Fitr Wa Nazre Sharai Wa Kaffara Bhi Inhe Nahi De Sakta.
Raha Sadqa-E-Nafl To Wah De Sakta Hai Balki Behtar Hai.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)
0 Comments