Sehri Ki Fazilate

8:50 PM

IBTIDAAI DAURMESAHRI KI IJAZAT NA THI!! Ibtida'an Raat Ko Uooth Kar Sahari Karne Ki Ijazat Na Thi Roza Rakhne Wale Ko Gurube Aaftaab Ke Baa'd Sirf Us waqt Tak Khane Pine Ki Ijazat Thi Jab Tak Woh So Na Jae. Agar So Gaya To Ab Bedar Hokar Khana Pina Mmnu' Tha Magar ALLAH Ne Apne Pyare Bando Par Ehsaane Azim Farmate Hue Sahari Ki Ijazat Marhamat Farmadi Aur Iska Sabab Yoo Huva Jaisa Ki Khzainul Irfan Me Sadrul Afazil Hazrate Allama Maulana Sayyid Muhammad Naimuddin Murad'aabadi(Rahmatullahi alayh) Naql Karte Hai: SAHARI KI IJAZAT KI HIKAYAT: Hazrate Sayyidyna Sarma Bin Qais (Radiyallahu Anhu) Mehnati Shakhs The.Ek Din Bhi Haalate Roza Apni Zamin Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aae Apni Zaujae Mohtarma(Radiyallahu Anhu)Se Khana Talab Kiya Woh Pakane Me Masruf Huee. Aap(Radiyallahu Anhu)Thake Hue The, Aankh Lag Gayi. Khana Taiyyar Kar Ke Jab Aap(Radiyallahu Anhu)Ko Jagaya Gaya To Aap(Radiyallahu Anhu)Ne Khane Se Inkaar Kar Diya Kyu Ki Uoon Dino(Gurube Aaaftaab Ke Baa'd) So Jane Wale Ke Liye Khana Pina Mmnu' Ho Jata Tha. Chunanche Khaae Piye Bigair Aap(Radiyallahu Anhu)Ne Dusre Din Bhi Roza Rakh Liya Aap(Radiyallahu Anhu)Kamzori Ke Sabab Behosh Ho Gae (TAFSIRAL KHAAZIN Jild 1 Page 126) To Inke Haq Me Yeh Aayate Muqaddsa Naazil Hui TARJUMA KANZUL IMAN- "Aur Khaao Aur Piyo Yahaa Tak Ki Tumhaare Liye Zaahir Ho Jae Sapedi Ka Dora Siyahi Ke Dore Se Po Fat Kar Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo" (PAARAH 2 AL BAQRAH 187) Is Aayate Muqaddsa Me Raat Ko Siyaah Dore Se Aur Subahe Sadiq Ko Safed Dore Se Tashbih Di Gayi Maa'na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki Raato Me Khana Pina Mubaah (Yaa'ni Jaiz) Qraar De Diya Gaya Hai (TAFSIRE KHZAINUL IRFAN) Is Se Yeh Bhi Maa'lum Huva Ki Roze Ka Azane Fajar Se Koi T'alluq Nahi Yaa'ni Fajar Ki Azan Ke Dauran khane pine Ka Koi Jvaz Hi Nahi Azan Ho Ya Na Ho, Aap Tak Aawaz Pahunche Ya Na Pahunche Subahe Sadiq Hote Hi Aap Ko Khana Pina Bilkul Hi Band Karna Hoga RAMZANUL MUBARAK KE ROZE AE'LANE NABUWWAT KE 15 WE SAAL YAANI 10 SHAWWAL HIJRI SAN 2 ME FARZ HUWE. (TAZKIRATUL KHAZAINUL IRFAN) Sehri khaya karo kyonki Sehri khane me har Luqme ke badle 60 baras ki ibadat ka sawab milta he (Mishkat) Hazrate Sayyaduna Abdullah Bin Haris Radiallahu Ta'ala Anhu Ek Sahabi Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki Me Habeeb-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Ba Barkat Me Aise Waqt Hazir Hua Ki Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Sehri Tanawul Farma Rahe The. Aapne Irshad Farmaya: "SEHRI BARKAT KI CHEEZ HE ALLAH NE ISSE TUMKO NAWAZA HE ISLIYE TUM ISKO KABI NA CHORNA" (Nasaai Sharif) Hazrate Sayyduna Amar Binul Aas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farnmaya Hamare Aur Ahlekitab (Isaaiyo Aur Yahudiyo) Ke Rozo Ke Beech Farq Sehri Khana Hai Yani (Wo Log Sehri Nahi Khate) (Muslim Sharif) Sarkaar-E-Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "ALLAH Aur Uske Firishte Sahari Khanewalo Par Rahmat Naazil Farmate Hai" (AL EHSAN BEE TARTIB, SAHIH IBNE HABBAN Jild 5 Page 194 Hadees 3458 Tibrani Sharif) Hazrate Sayyadna Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Tajdar-E-Madina Suroor-E-Kalbo Seena Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Sehri Khaya Karo Kyunki Sehri Me Barkat Hai" (Bukhari Sharif, Muslim Sharif) Hazrate Sayyaduna Irbaaz Bi Sariya Radiallahu Ta'ala Anhu Bayan Karte Hai Ki Ek Dafa Ramzanul Mubarak Me RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Muze Apne Sath Sehri Khane Ke Liye Bulaya. Aur Irshad Farmaya "Ki Aao Mubarak Nashte Ke Liye" (Abu Dawood, Nasaai Sharif) Hazrate Sayyaduna Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Ss Riwayat Hai Ki Rehmate Do Aallam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Sehri Kha Kar Roza Rakhne Ke Liye Kuwwat Hasil Karo Aur Din (Dopahar) Ke Waqt Aaram (Kailoola) Karke Raat Ki Ibadat Ke Liye Kuwwat Hasil Karo. (Ibne Majah Sharif) Hazrate Sayyaduna Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya " 3 Aadmi Jitna Bhi Kha Le Unse Koi Hisab Na Hoga • Awwal Rozadar Iftar Ke Waqt • Dusra Sehri Khanewale • Tisra Mujahid Jo ALLAH Ke Raste Me Sarhade Islam Ki Hifazat Kare (Tabrani Kabeer)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *