Jin Chizon Se Roza Nahi Toot'ta Unka Bayan

9:00 PM

Hadees: Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai ki huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya..... Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya {Sahi muslim, Hadees No 1155} HADEES: 3 Chizo Se Roza Nahi Toot'Ta, 1-Pachhna {Badan Se Fasid khoon nikalwana jise Hijama Bhi Kehte Hai} 2- Qaye (ulti, Jo Khud se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya) 3-Ehtelam (sote Me Mani Ka Nikalna, Ya bemari Ya Boojh Uthate WAQT Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya) {Tirmizi, Jild 2, Page 177, 719} Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot'Ta Wo Zail Me Hain Mas'ala: Bhool Kar Khaya Piya Ya Jima (sex) Kiya To Roza Nahi Toota, chahe Roza Nafl Ho Ya Wajib Ya Farz {Bahar-E-Shariat, Hissa 5, Page 981} Mas'ala: Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (dhool mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot'Ta chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho,,, Ya Galle Ka Gubar Ho,, Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi agarche Rozadar hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota. Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho phir Chahe Jis Chiz Ka dhuwan ho,,, Yahan Tak Ki AgarBatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak se Dhuwa Khicha To Roza Toot Gaya... Yun Hi HUQQA Peene Se Bhi Roza Toot Gaya. Aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir HUQQA Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega (61 roze rakhne Honge) {Bahar-E-Shariat Volume-5} Mas'ala: Pachhna alagwaya Ya Tel (Oil) Ya surma Lagaya To Roza Na Gaya. Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza HALAQ Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta ho Jab Bhi Nahi Tootega {Bahar-E-shariat Hissa-5} Mas'ala: Bosa (kiss) Liya Magar Inzal Na hua (mani nahi nikli) To Roza Nahi Toota... Yun Hi Aurat Ki sharmgah Ki taraf Nazar ki Magar Hath Na Lagaya aur inzal Ho Gaya agarche Bar Bar Nazar Karne & jima Karne Ke Khayal Se inzal Hua agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota {Bahar-E-Shariat Hissa-5} Mas'ala: Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya {Alamgiri, Jild 1, Page 203} Mas'ala: Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya.... magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza hon Gunah O Haram Hai.... {Bahar-E-shariat Hissa 5, Page 984} Bhul Kar Khaya Piya Ya Jima'a Kiya Roza Faasid N Huva, Khvaah Voh Roza Farz Ho Ya Nafal (DURRE MUKHTAR, RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 365) Tel Ya Surma Lgaya To Roza Na Gaya (AL JAUHARTUN NAYYARAH Jild 1 Page 179) Kaan Me Paani Chala Gaya Jab Bhi Roza Nahi Tuta Balki Khud Paani Daala Jab Bhi Na Tuta (DURRE MUKHTAAR Jild 3 Page 367) Tinke Se Kaan Khujaya Jab Bhi Roza Na Tuta (DURRE MUKHTAAR Jild 3 Page 367) Bhule Se Khana Khaa Rahe The, Yaad Aate Hi Luqma Fenk Diya Ya Paani Pee Rahe The Yaad Aate Hi Muh Ka Paani Fenk Diya To Roza Na Gaya Agar Muh Me Luqma Ya Paani Yaad Aane Ke Ba Vujud Nigal Gae To Roza Gaya (AALMGIRI Jild 1 Page 203) Janaabat(Yaa'ni Gusl Farz Hone)Ki Haalat Me Subah Kee Balki Saare Din Junub(Yaa'ni Be Gusul) Rahaa Roza N Gaya (DURRE MUKHTAAR Jild 3 Page 372) Magar Itni Der Tak Qasdan(Yaa'ni Jaan Bujh Kar) Gusl Na Karna Ki Namaz Kaza Ho Jae Gunah Bhi Hai Aur Haram Hai Hadis Sharif Me Farmaya, Jis Ghar Me Junub Ho Us Me Rahmat Ke Firishte Nahi Aate (BAHAARE SHARIAT Hissa 5 Page 116) Roze MeKhud Ba Khud Kitni Hi Qey (Uoolti,Womit) Ho Jae(Khvaah Baalti Hi Kyo N Bhar Jaae) Is Se Roza Nahi Tutta (DURRE MUKHTAR Jild 3 Page No 392) Thuk Ya Balgam Muh Me Aaya Fir Use Nigal Gae To Roza Na Gaya (RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 373) Roze Ki Haalat Me Har Qism Ka Attar Sungh Bhi Sakte Hai Aur Kapdo Par Lga Bhi Sakte Hai (RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 397) Roze Me Miswak Karna Makruh Nahi Balki Jaise Aur Dino Me Sunnat Hai Vaise Hi Roze Me Bhi Sunnat Hai (RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 399) Aksar Logo Me Mshahur Hai Ki Dopahar Ke Baa'd Rozadaar Ke Liye Miswak Karna Makruh Hai Yeh Hamare Mazhabe Hanfiya Ke Khilaf Hai (RADDUL MUHTAAR Jild 3 Page 399) Baa'z Log Roze Me Baar Baar Thukte Rahte Hai Shaayad Voh Samajhte Hai Ki Roze Me Thuk Nahi Niglna Chahiye, Aisa Nahi Albtta Muh Me Thuk Ikhttha Kar Ke Nigal Jaana, Yeh To Bigair Roze Ke Bhi Na Pasandida Hai Aur Roze Me Makruh (BAHAARE SHARIAT Hissa-5 Page No 129) Mas'Ala Kaan Me Pani Chala Gaya Tab bhi Roza Nahi Tuta Balki Khud Pani Dala tab bhi Nahi Tutega (Dure Mukhtar Jild 3 Safa 367) ROZE KI HAALAT ME NEEND AANE KE BAAD AGAR EHTLAAM HO JAAYE TO ROZA NAHI TUT'TA. (BAHAR-E-SHARIAT) Masa'la: Makkhi Halaq Se Chali Gayi Roza Na Gaya & Jaan Bujh Kar Nigli To Roza Chala Gaya (Alamgiri Jild 1 Safa 203) MASALA: AGAR KOI ZIYADA BIMAR HO JAAYE TO ROZA TOD SAKTA HAI QAZA LAAZIM HOGI KAFFARA NAHI. (BAHAR-E-SHARIAT)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *