Shaitan (satan) Kaun hai?
7:02 PM
Insan ko banane se pehle Allah ne duniya banai. Isme usne pehle Jinnato ko bheja. (Jinnat insan se bahut alag hote hain, humko dikhai nahi dete, inko bhi Allah ne apni puja ke liye banaya tha, insan mitti se bana hai aur jinnat aag se). Bahut saal tak duniya mein jinnat rahe lekin baad mein unhone ladna-jhagadna, maarkaat shuru kar di. Allah ne farishto ko bola ki jinnato ko khatam kar do (farishte Allah ke sewak hai, jinko na bhuk lagti hai, na pyas lagti hai, na neend aati hai, yeh na women hain na men hai, bas hamesha Allah ke liye kaam karte rahte hain, halaki Allah ko kisi ki help ki zaroorat nahi lekin phir bhi Allah ne inko bana diya, jese insano ko banaya hai) Jab farishte duniya mein jinnato ko khatam karne aaye to sabko khatam kar diya lekin ek jinnat ka baccha bahut chhota tha, farishto ne Allah se kaha ki Allah humne sabko khatam kar diya lekin yeh baccha bahut chhota hai, isko khatam nahi karte, iski kya galti hai, yeh to abhi kuch samajhta bhi nahi, Allah ne kaha thik hai isko mat maaro (Halaki Allah past, present, future sab jaanta hai, lekin farishte nahi jaante the) aur Farishte us bacche ko apne saath aasman par le gaye.
Yeh chhota baccha bada hota gaya aur isne Allah ki itni puja ki ke Allah ne is jinnat ke bacche ko baad mein saare farishto ka leader bana diya. Ab Allah ne insan ko banane ka irada kiya, sabse pehle insan ka putla (structure) tayyar kiya gaya (jinka naam adam hai). Ab Allah ne saare farishto aur us jinnat jiska naam 'iblis' tha, usko hukm diya ki is adam ke putle ko sajda karo (halaki Allah ke siwa kisi ko sajda nahi karna chahiye lekin jab Allah khud bol raha hai to uske hukm ko taala nahi ja sakta, yeh sirf Alla ka ek exam tha) Allah ka hukm sunkar saare farishto ne adam ke putle ko sajda kiya lekin us jinnat ke bacche ne sajda karne se mana kar diya, wo ghamand mei naa gaya aur kaha ki yeh mitti se bana hai aur mein aag se, aur ab to mujhe itni badi post bhi mil gai hai mein isko sajda nahi karuga. Allah ne usko ek mauka aur diya lekin usne ghamand ki wajah se Adam ko sajda nahi kiya, is baat par Allah gussa ho gaya aur us jinnat ko kaha ki yaha se chala ja aur teri post bhi tujhse le li jayegi. Baad mein shaitan dar gaya, usne socha ki ab mera haal to kharab ho gaya hai lekin is adam ko bhi mein nahi chhoduga, jiski wajah se meri yeh halat hue hai, Us jinnat ne Allah se request ki aur kaha ki, Allah meri izzat to kharab ho gai hai lekin tu mujhko itni zindagi de aur itni taakat de ki mein Adam ke hone wale baccho ko teri raah se bhatka saku aur apna badla le saku.
Allah ne kaha ki thik hai tujhko mene yeh power diya, lekin jo mera nek banda hoga woh tere bahkawe mein nahi ayega. Yahi jinnat ka baccha jisne Allah ki ibadat ki to farishto se bhi upar ho gaya lekin Allah ki baat na maane se shaitan bana, jisko aaj hum shaitan bolte hain. Jab Adam ke putle ko Allah ne aatma daal di aur unko swarg (jannat) mein bhej diya, Kyonki Adam (men) the isliye unki partner ke roop mein Hawwa ko banaya jo ki (women) thi. Dono ko Allah ne jannat mein bhej diya lekin kaha ki ek tree hai waha, uska fruit mat khana (yeh adam-hawwa ka exam tha). Kyonki shaitan ne Allah se power le liye the, isliye ek din usne Adam ko bahka diya ki tu yeh fruit kha le, Jab Adam ne shaitan ki baat maan kar fruit kha liya to Allah, Adam se naraz ho gaya aur kaha ki ab tum jannat mein nahi rah sakte, tumko duniya mein jaana padega. Allah ne Adam aur hawwa ko duniya mein bhej diya. Yahi se shaitan ne apni Adam se apne badle ki shuruat kar di. Aur aaj bhi shaitan insano ko Allah se door karne ki koshish karta rahta hai aur apni dushmani nibhata hai, yeh kaam wo kayamat tak karega. Taaki uske saath-saath hum bhi dozakh mein jaaye.
ek jagah kaha gaya hai ki 'shaitan insano ka khula dushman hai'. Shaitan ke pass itni taakat hai ki wo insano ke dil-dimaag mein bure-bure khyal daalta hai. Bure kaamo ke liye dil ko tayyar karta hai. Acche kaam karne se insan ko rokta hai. Insan ke blood saath behta hai. Lekin jo insan Allah se mohabbat karta hai us par is shaitan ka bas nahi chalta. kyonki quran mein kaha gaya hai ki 'beshak shaitan ki chaale bahut kamzor hai' lekin jiska imaan kamzor hota hai wo shaitan ki in kamzor chaalo mein bhi aa jaata hai.
Allah hum sabko shaitan ki chalo se bachaye.... aameen!
0 Comments