Hazrat Daniyal A.S ka qissah: (in prison with lions)
3:43 PM
Bakht-e-Nasr k hath 2 shair/ lions lagay, tau usny dono ko andhay kou'wen/ well me phaink dya. Phir Hazrat Daniyal ko bhiun k sath kou'wen me daal dya.Magar lions ne aap k sath kuch bura salook nhi kia, bulkay pyar muhabbat se rahay. Phir jab tak Allah ne chaha, aap us kou'wen me rahay.Allah ne aap ki bhook o piyas ka bandobst youn kia k yahan se koson dourBaitul Muqaddas me Urmiya A.S ko wahi farmai k khana wagera tayyar karo ta k Daniyal ko khilaya jae.Urmiya A.s ne arz kia, "Ae Parwardigar main yaha Arz-e-Muqaddisame houn aurwo arz-e-Babul, Sar zameen-e-Iraq me?Allah ne farmaya, "jo Hum ne tum ko hukm dya hai, wo karo. Hum tumhary lye sawari ka bandobst karaingay.."Tau Urmiya A.s ne khana wagera tayyar karlya aur Allah Ta'ala ne sawari ata'a kardi, hatta k aap anan fanan kou'wen k kinaray kharay pae gae.Hazrat Daniyal ne awaz daikar pucha k kon hai??Farmaya, Main Urmiya houn, mujhay aap k Rab ne aap k paas bheja hai.Daniyal ne farmaya: kia mere Rab ne mujhay yaad farmaya hai?Farmaya, Han ......
0 Comments