ISM E AZAM اسم اعظم
10:34 PM“ISM E AZAM” SAY MURAD KHALIQ E QAINAAT ALLAH TALAH KA WOH MAKHSOOS ISM / NAAM HAY JISSAY WIRD KER KAY DUA KERNAY SAY HAJAAT POORI HOON,
QOOL MASHOOR HAY KAY ALLAH TALAH KAY 1000 MASHOOR NAAM HAN JIN MAIN SAY 300 NAAM "TORAIT" MAIN HAN, 300 NAAM "INJEEL" MAIN HAN, 300 NAAM "ZABOOR" MAIN HAN AUR 99 NAAM "QURAN PAK" MAIN HAN, JAB KAY AIK NAAM YENI HAZARWAN NAAM MAKHFI HAY AUR KISSI QISMAT WALLAY HEE KO BA-HUKMAY ALLAH USS NAAM KA ILM DIYA JAATA HAY, AUR YEHI NAAM ISM E AZAM KEHLATA HAY,
ALBATA ALOOM E ROOHANI KI ROOH SAY ISM E AZAM KI 2 TYPES YENI AQSAAM HAN,
1-AMOOMI:
YEA ISM E AZAM SIRF ALLAH TALAH AUR US KAY KHAS BUNDAY (AMBIYA, OOLIYA KARAM AUR MOMENEEN) HEE JANTAY HAN, YEA FIX HOOTA HAY AUR JOO BHI ISS ISAM KO PERHTA HAY FAIDA UTHATA HAY,
2-KHASOOSI:
YEA SIRF USS INSAN KAY LIYEE HOOTA HAY JISS KAY NAAM SAY NIKALA JAATA HAY, ISM E AZAM KHASOOSI NIKALNAY KAY BOHAT SAY TAREEQAY HOOTAY HAN, ISAM AZAM KHASOOSI ISTAKHRAAJ KERNAY KAY CHUND TAREEQAY ZAIL MAIN LIKHAY JAA RAHAY HAN,
1-ILM UL ADAD SAY ISM E AZAM KA ISTAKHRAAJ:
NAAM KAY ADAD KAY BARABER ADAD WALLA ISM ILAHI DHOND KER
TAREEQA:
ILM E ADAD KA TAREEQA EASY AUR INTERESTING HAY, ISSI LIYEE MAIN YEA TERIQA TAFSEEL SAY BIYAN KER RAHA HOON,
SAB SAY PHELAY APNAY NAAM KAY ADAD ABJAD E QAMRI SAY NIKAL LOO, AUR USS ADAD KAY BARABER ALLAH TALAH KA ISM (1 YA AIK SAY ZIADA) TALASH KEROO, AB ISS HASIL SHUDA ISAM KO NAAM KAY ADAD KAY BARABER PERHOO, AWAL O AKHIR DAROOD PAK PERHNA ZAROORI HAY, AUR SHURRO KERNAY SAY PHELAY SADQA AUR KHIRAAT KERNA ZAROORI HOOTA HAY,
0 Comments