Hazrat Musa A.S ki Maa ka unko bachana

8:05 PM

Hazrat Musa A.S ki maa is fikr o gham me theen k apnay betay ko Fir'oun k logoun se kaisay bacha'ain k Allah ki traf se un k dil me ye baat dali gae k aik sandooq (box) bana kar apnay bachay ko us me rakh dain. aur sandooq ko kisi rassi (rope) se baandh kar rakhain, aur apka ghar darya (river) k kinaray per tha.
Aap is bachay ko sandooq me rakhain aur doodh pilati rahain (feeding). Jab ksi k anay ka khauf ho tau sandooq ko darya me baha dain. aur rassi ka sira apnay paas kahin baandh kar rakhain. Jab log chalay jaen tau phir wapis khench lain.
Tau aap aisa hi karti raheen.
Hazrat Umme Musa ko ye wahi bator e alhaam aur irshaad k thi. na k aam Rasool'oun ki wahi ki trah. Jaisay Allah Ta'ala ne dosri jagah shehad ki makhi (honey bee) k mutaliq bhi yhi alfaaz farmaye.
Farmaya:
" Aur Teray Parwardigar ne shehad ki makhi ko wahi ki k paharoun /mountains aur darakhtoun /trees aur ounchi jaghaoun me ghar bana, phir her qisam k phal /fruits kha. Phir apnay Rab k (bataye hue) sehal /easy rastoun pe chal. (aur) un k paitoun /abdomens se peenay ki cheez nikalti hai.." (surah e Nehal 68, 69)
Tau Musa ki Maa Allah ki hidayat per aamal karti raheen.
Tau aik baar routine k trah koi aya aur aap ny Musa A.S ko sandooq me rakh kar darya me baha dya. But Allah ka karna aisa hua k us din wo sandooq ki rassi apnay paas bandhna bhool gaen. aur sandooq rassi samet behta chala gya.
Darya k kinaray Fir'oun ka mehal / Palace bhi tha.
Sandooq wahan se guzra tau Fir'oun ki lound'ioun (maids) ne us sandooq ko band halat me utha lya.
Kholnay ki himmat na hue tau Fir'oun ki bewi k samnay rakh dya. Jiska Naam Asiyah tha.
Asiyah ki tareef o tauseef Hazrat Maryam A.S k qissay me karaingay. aur ye dono azeem hastiyaan jannat me Hazart Muhammad (SAWW) ki zojiyat (wife honay) ka sharaf payengi. Subhan'Allah

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *